Ham Roza Kyu Rakhte Hai ? Roza Rakhne Ki Hikmate Kya He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Roza Rakhne Ki Kya Hikmate (Logic) He, Tafsil Se Bataye ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sabe Pahle To Ye Ilm Hona Zaroori He Ki Allah Ta'ala Ke Asma'a Me Se Ek "Al-Hakeem" Bhi He, Yaani Hikmat Wala, Lihaza Allah Ta'ala Ne Jo Bhi Ahkam Muqarrar Kiye Hai Vo Sab Ke Sab Azeem Hikmato Par He, Baaz Awqat To Hame Uski Kuchh Hikmat Ka Ilm Hota He Or Baaz Awqat Hamari Aqle Uski Hikmat Ka Idraak Nahi Kar Paati, Or Bahut Saari Hikmate Ham Par Makhfi Rahti He.

Allah Ta'ala Ne Ham Par Rozo Ko Farz Or Mashroo'a Karte Huve Uski Hikmat Ka Bhi Zikr Kiya He,

Qura'an Majeed Me Rab Ta'ala Farmata He,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
Yaani, Ay Iman Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gay Jaise Aglo Par Farz Huye The Ki Kahiñ Tumhe Parhezgaari Mile.
*📚(Surah Baqra, Aayat-183)*

Aayat Ke Aakhir Me Bataya Gaya Ki Roze Ka Maqsad Taqwa W Parhezgaari Ka Husool He. Roze Me Chunke Nafs Par Sakhti Ki Jaati He Or Khane Pine Ki Halal Cheezo Se Bhi Rok Diya Jata He Us Se Apni Khwahishat Par Qaboo Paane Ki Mashq Hoti He Jis Se Zabte Nafs Or Haram Se Bachne Par Quwwat Hoti He Or Yahi Zabte Nafs Or Khwahishat Par Qaboo Vo Bunyadi Cheez He Jis Ks Zariye Aadmi Gunaho Se Rukta He.

Qura'an Paak Me He,
وَأَمَّا مَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِ وَنَهَى النَّفْسَ عَنِ الْهَوَىٰ فَإِنَّ الْجَنَّةَ هِيَ الْمَأْوَىٰ
Yaani,  Or Jo Apne Rab Ke Huzoor Khade Hone Se Dara Or Nafs Ko Khwahish Se Roka, Beshak Jannat Hi Thikana He.
*📚(Surah Naziaat, Aayat-40,41)*

Chunanche Huzur Mufti Ahemadyaar Khan Naeemi Alaihir Rahmato Ridwan Roza Ki Hikmate Bayan Karte Huye Farmate He,

Pet Bharne Se Nafs Qawi Hota He Or Khali Rahne Se Rooh Me Quwwat Aati He, Rooh Or Nafs Hamare Goya Do Baazu He, Ya Insani Zindagi Ke Do Pahiye, Lihaza Kuchh Din Nafs Ko Giza Do Kuchh Din Rooh Ko Neez Roza Pet Ki Tamam Bimariyon Ka Ilaj He Agar Koi Har Maah Me Tin Din Roze Rakh Liya Kare To Vo Shikmi Amraaz Se Mahfooz Rahega. Neez Roze Se Faqeer Or Faaqa Ki Qadr Maloom Hoti He, Or Faqeer Ki Imdad Ko Dil Chahta He, Roze Me Apni Bandagi Or Rab Ki Milkiyat Ka Izhaar Hota He Ham Apni Kisi Cheez Ke Mustaqil Malik Nahi, Ghar Me Sab Kuchh He Magar Rab Ne Rok Diya To Kuchh Istemal Nahi Kar Sakte, Roze Se Bhuk Bardasht Karne Ki Aadat Rahti He Ki Agar Kabhi Faqa Darpesh Aa Jaaye To Roza Daar Sabr Karega, Rooh Jism Me Aane Se Pahle Giza Se Mahfooz Thi Lihaza Gunah Se Bhi Bari Thi, Jism Me Aakar Giza Ki Hajat Mand Hui, Lihaza Gunah Bhi Karne Lagi Ab Kuchh Waqt Use Bhuka Rakho Taaki Use Apni Pahli Halat Yaad Rahe Or Gunah Se Baaz Rahe.
*📚(Asrarul Ahkam Ba Anwarul Qura'an, S-18)*

Lihaza Roza Allah Ta'ala Ki In'aam Karda Ne'amato Ka Shukr Ada Karne Ka Wasila He, Roza Khana Pina Tark Karne Ka Naam He, Or Khana Pina Ek Bahut Badi Ne'amat  He, Lihaza Is Se Kuchh Der Ke Liye Ruk Jana Khane Pine Ki Qadro Qimat Ma'aloom Karata He, Ye Sab Kuchh Uske Shukr Karne Par Ubhaarta He,

Roza Rakhne Me Shahwat Par Qaboo Paya Jata He, Kyu Ki Jab Nafs Seer Huva Or Pet Bhara Huva Ho To Vo Shahwat Ki Tamanna Karne Lagta He, Or Jab Bhuka Ho To Fir Khwahishat Se Bachta He.

Roza Masakeen Par Rahmat Maherbani Or Narmi Karne Ka Baaes He, Is Liye Ke Jab Roza Daar Kuchh Waqt Ke Liye Bhuka Rahta He To Fir Use Us Shakhs Ki Halat Yaad Aati He Jise Har Waqt Hi Khana Naseeb Nahi Hota, To Vo Us Par Maherbani Or Raham Or Ahsaan Karne Par Ubharta He. Lihaza Roza Masakeen Garibo Par Maherbani Ka Baaes He.

Roza Se Dil Saaf Hota He Or Zikro Fikr Ke Liye Farig Ho Jata He, Kyu Ki Khwahishat Ko Pura Karne Se Dil Sakht Or Haq Se Andha Ho Jata He Or Roza Dil Ki Quwwat W Sehat Ki Hifazat Karta He.

Roza Me Momin Kasrate Ita'at Ka Aadi Banta He, Kyu Ki Rozadaar Roza Ki Halat Me Zyada Se Zyada Ita'at W Farmabardari Karta He.

Roze Ki Ek Hikmat Ye Bhi He Ki Isse Bahut Sare Ayse Tibbi Fawaid Hasil Hote He. Jisse Vo Uski Sehat Tandurast Or Kai Bimariyo Se Mahfooz Rahti He, Isi Tarah Khane Ke Awqat Ka Lihaz Rakhne Or Ma'ada Ko Ek Muayyina Muddat Ke Liye Aaram Dene Se Insani Jism Ko Sehat W Tawanaai Hasil Hoti He.

Khulasa Ye He Ki Roza Me Azeem Hikmte Or Bahut Se Fawaaid He Neez Roza Par Allah Ta'ala Ne Bada Sawab Or Ajre Azeem Rakha He. Or Bhi Kai Bahut Si Hikmate He Jo Hamse Poshida He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts