Attahiyat Ke Ungli Uthane Ka Sahi Tariqa kya He

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz me Ungli uthane ka sahi tareeka kya hai attahiyat me kaha se kaha tak Ungli uthayi jani chahiye.
Baraye meharbani rahenumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tashahud Padhne Me Jab Kalima e 'Laa' Ke Kareeb Pahuche To Dahini Hath Ki Bich Ki Ungli Or Anguthe Ka Halka Banaye Or Chhungaliya Or Uske Paas Wali Ko Hatheli Se Milade, Or Lafze 'Laa' Par Kalima Ki Ungli Uthaye Magar Usko Jumbish Na De, Hilaye Nahi, Or Kalma "illa" Par Gira de, Or Sab Ungaliya Fauran Sidhi Karle, Ye Tariqa He Tash'hud Me "Ash'hadu Al Laa Ilaaha Illallah" Par Ungli Uthane Ka, Usi Ke Mutabik Uthaye.
Aysa Ki Bahare Shariyat Me Mazkoor He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts