Namaz Me Niyat Kis Tarah Kare Ek Mas'ala

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum
Mera sawal ye hai ke bahut log sunnat namaz ki niyat kuch is tarah se karte hai
Niyat ki maine 2rakat sunnat e rasoolullah fajr ki zohar ki is tarah ki niyat kaisa hai
Tafsil se jawab inayat farmei hazrat meherbani hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Niyat Dil Me Pakke Irade Ka Naam He, Agar Kisine Kisi Bhi Namaz Nafl Ho Sunnat Ho Ya Farz Ho Dil Me Pakka Irada Karke Khada Ho Gaya To Agar Zaban Se Ada Na Bhi Kare To Koi Harj Nahi, Lekin Zaban Se Ada Kar Lena Mustahab He, Agar Jesa Ki Aapne Zikr Kiya Ki Kisi Ne Niyat Ki Ke Niyat Ki Mene 2 Raka'at Namaz Sunnate RasoolAllah ﷺ Ki, Fajr Ki Waste Allah Ta'ala Ke Muh Mera Kaba Shareef Ki Taraf Allahu, Ye Sahih He Durust He.
Jaisa Ki Aam Kutube Fiqh Me Mazkoor He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts