Luqta Ka hukm or use lost & found stall par jama karana kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

Hazrat Mera Sawal Hai K
1:-   Jo Paise Zameen Pr Pade Hue Mil Jate The Uska Waps Na Krna Kaisa, Kyu Ki Hume Nahi Pta Nhi Hota Tha K Wo Kiska Hai.

2:-   Aaj Kl School College Office Malls Me "Lost & Found" Department Hota H Waha Kisi Ka Khoya Hua Saman Diya Jata H. Is Tarike Pr Amal Krna Shairiyatan Jayez Hoga.

3:-. Agr Mjhe Koi Chiz Dikhae De Jo K Mai "Lost & Found" Me Du Ya Aas Paas Logo Se Puch Kr Us Chiz Ko Uske Malik Tk Pohcha Du Lekin Isme Mera Bht Waqt Zaya Ho Jane Ki Wajh Se Maine Agr Us Chiz Ko Hi Nazar Andaz Kr Diya To Is Pr Kya Hukm Hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
1. Giri Padi Cheezo Ko Shariyat Ki Zaban Me Luqta Kahte He, Or Uska Hukm Ye He Ki Agar Malik Ko De Dene Ki Niyat Se Uthaya To Ye Mustahab, Sawab Payega, Or  Agar Andesha He Ki Vo Khud Hi Rakh Lega Is Wajah Se Uthaya To Fir Ayse Maal Ko Na Uthana Chahiye Chhod Dena Chahiye, Or Agar Galibe Guman He Ki Khud Uthayega Khud Hi Istemal Karega, Khud Hi Use Apne Kaam Me Le Aayega, To Is Niyyat Ke Sath Uthana Najaiz, Haram He,
Jaisa Ki *📚Bahare Shariyat, Hissa-10, Luqta Ka Bayan* Me Huzur  Sadrush Shariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tahrir Farmaya..

Lihaza Soorate Mas'ala Me Aap Ke Liye Vo Cheez Na Uthana Bahetar, Usko Chhod De.

2. Dusre Sawal Ka Jawab Ye Ki Agar Vo Yaqeeni Taur Par Unke Maliko Ko Unka Maal Pahuchane Ki Hattal Wus'at Koshish Karte He Or Aksaro Beshtar Ka Tajarba Yahi Rahta He Ki Vo Khoye Huve Maal Ko Uske Malik Ko Talash Larke Us Tak Pahucha Hi Dete He, Tab To Ayse Counter Par Us Maal Ko Jama'a Kar Dena Jaiz Hona Chahiye..

3. Jawab Teen Ye He Ki Agar Aap Ko Aysa Lagta He Ki Ye Cheez Uthauga, Uske Malik Ko Talash Karuga, Us Cheez Ki Tashheer Karuga, Mera Waqt Bahut Zaaya Hoga, Or Mere Paas Itna Waqt Bhi Nahi Ki Me Ye Sab Kaam Karu, To Aapke Liye Jaiz He Ki Aap Us Cheez Ko Chhod De, Aapke Liye Uthana Lazim Nahi He.

Kisi Bhi Giri Padi Cheez Ko Yaani Luqta Ko Uthane Ke Baad Uthane Wale Par Ye Lazim W Zaroori Ho Jata He Ki Vo Us Cheez Ki Tash'heer Kare Or Us Cheez Ke Malik Ke Liye Itna Ailan Karde, Bazaro Me, Gharo Me, Muhallo Me, Pure Shahar Me Itna Ailan Kare Ki Ab Galibe Gumaan Ho Jaye Ki Ab Uska Malik Usko Talash Na Karta Hoga, Lihaza Aysi Soorat Me Agar Aap Us Cheez Ko Na Uthayege To Ye Bhi Aap Ke Liye Jaiz Hoga,

Usi Se Milta Julta Ek Mas'ala Ye Bhi Dhyan Me Rakhe Ki, Giri Padi Cheez Aysi Thi Jo Kharab Hone Wali Nahi Thi, Or Hattal Wus'at Mumkin Or Taqat Bhar Uski Tash'heer Bhi Karta Raha, Ailan Bhi Karta Raha, Magar Uska Malik Na Mila, Or Galibe Gumaan Ye Hua Ki Ab Malik Usse Be-Niyaz Ho Chuka Hoga, To Ab Us Cheez Ka Hukm Ye He Ki Vo Cheez Kisi Miskeen, Gareeb, Faqeer Ko Dede, Ki Vo Isko Apne Istemaal Me Le Aaye,

Dusra Mas'ala Ye He Ki Agar Vo Giri Padi Cheez Aysi He Ki Jiske Kharab Ho Jane Ka Andesha He, Jab Tak Uske Kharab Ho Jane Ka Andesha Na Ho, Us Cheez Ki Tash'heer Kare, Misaal Ke Taur Par Dudh Wagairah Ya Koi Khane Pine Ki Cheez Ki Ye Cheeze Do Char Ghante Hi Achchi Rahti He, To Ek Do Ghante Tak Uski Tash'heer Karta Rahe, Ailan Karta Rahe, Malik Mil Jaye To Usko Lota De, Or Malik Na Milne Ki Soorat Me Kisi Gareeb Faqeer Miskeen Par Usko Sadqa Karde,
Aysa Hi *📚Bahare Shariyat, Hissa-10, Luqta Ka Bayan* Me He

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts