Namaz Me Social Distance Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Corona Bimari Ki Wajah Se Social Distance Yaani Logo Ko Jismani Fasla Banaye Rakhne Ke Liye Kaha Gaya He To Kya Jama'at Se Namaz Padhte Waqt Thoda Fasla Rakhna Jaiz Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jama'at Me Social Distance Ke Naam Par Ek Dusre Se Thoda Thoda Door Khada Rahna Sakht Gunah He Ki Inqeta e Saf Lazim Aayega Or Aysi Namaz Makroohe Tahrimi Wajibul Ae'aada Hogi. Hadeese Paak Me Jo Saf Ko Milayega Allah Ta'ala Use Milayega Or Jo Saf Ko Todega Allah Ta'ala Use Kaat Kar Rakh Dega, Afsos Ke Apne Gharo Me To Ye Sab Heele Bhula Diye Jate He Or Allah Ke Ghar Me Ayse Heele Mahaz Ek Wahmi Cheez Ki Bina Par Ikhtiyar Kiye Jate He. Allah Ta'ala Musalmano Ke Iman Ko Mazboot Farmaye.

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬 Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts