Kya 12 May Ko Suraiyya Tare Se Corona Virus Khatm Ho Jayega

*🌹SAWAL:-🌹*
*Surraiya* Sitare Ke Baare Main Kya Farmate Hain Aulma E Ahle Sunnt.... Ek Taqrir Main Bataya Gaya Hai Ke Jis Subha Ye Sitaara Nikalta Hai Us Waqt Allah Puri Zamin Se Har Waba Bimari Ko Dur Farma Deta Hai...   Usi Taqrir Main Bataya Gaya Hai Ke Jo Ilme Nujum Ke Mahirin Hain Unho Ne 12 May Ki Tarikh Batai Hai Is Sitare Ke Tulu Hone Ki....
Iski Hakikat Kya Hai....?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Surayya Sitare Ke Tulu'a Hone Se Jo Bimari Khatm Ya Kam Hone Ka Ahadees Me Aaya He Vo Khas Phulo Ki Bimari Ke Ta'alluq Se Insani Ya Aam Bimari Ke Ta'alluq Se Nahi.

Surayya Sitare Ke Ta'alluq Se Jo Ahadis Warid He Unme Se Ba'az Mutlaq He Yaani Is Baat Ki Wazahat Karti He Ki Koi Bhi Bimari Surayya Sitare Ke Tulu'a Hone Se Khatm Ho Jayegi Ya Kam Ho Jayegi, Or Ba'az Ahadees Muqeed He Yaani Is Baat Ko Bayan Karti He Ki Surayya Sitara Tulu'a Hone Se Phalo Ki Bimari Khatm Ho Jayegi.

Magar In Ahadees Ke Ta'ayyan Ma'ana Me Aulma E Kiram Me Ikhtelaf He, Lihaza In Ahadees Ki Bina Par Yaqeeni Taur Par Ye Nahi Kaha Ja Sakta Ki Isse Insani Bimari Yaani 12 May Ke Baad Corona Virus Bhi Khatm Ho Jayega, Ya Kam Ho Jayega..

Albatta Ba'az Ahadees Ke Zahiri Ma'ana Ko Le Kar Or Aulma Ke Ba'az Aqwal Ke Peshe Nazar Allah Ta'ala Se Ummid Ki Ja Sakti He Ki Vo Surayya Ke Tulu'a Se Ye Corona Virus Ya Or Koi Insani Waba Kam Ya Khatm Karde.

Magar Iska Matlab Ye Nahi Ki Ye Ta'ayyan Ma'ana Ke Ikhtelaf Ke Bawajood Ham Ye Kahe Ki Huzur  ﷺ Ne Farma Diya 12 May Ko Ye Ho Kar Rahega, Or Najat Mil Kar Rahegi, Nahi Aysa Nahi Kah Sakte Kyu Ki In Ahadees Ke Ta'ayyan Ma'ana Me Ikhtelaf He.

Surayya Sitara 12 May Ko Tulu'a Hoga Jaisa Ki Hadeese Paak Or Aulma E Kirm K Qaul Se Zahir He.

Imam Tahaawi Rahematullah Alaihi Mazeed Wazahat Kar Rahe he Ki Suraiyya Sitara May Mahina Ki 12 Tarikh Ko Tulu'a Hoga.

Imam Qurtubi Ne Farmaya Ki Ho Az Bee'a Me Me Samar Pakne Ki Shart Usi Par Be Ki Vo Phal Pura Pukhta Ho Jaye Ki Fir Khame Ke Laaiq Samjha. Jaye Or Aasmani Aafat Ke Nuzool Se Mahfooz Ho Jaye. Aasmani Aafat Se Kahkasha Ke Tulu'a Se Pahle Ka Waqt Murad He Is Liye Ki Im Sitaro Ke Tulu'a Se Pahle Kachche Qism Ke Phal Tode Jaye To Vo Phal Kharab Ho Jate He, Allah Ta'ala Ne Apni Qudrat Ka Nizam Phalo Ke Liye Ayse Hi Banaya He.

Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Ne Riwayat Kiya Ki Huzur  ﷺ Ne Farmaya Ki Jab Subah Ke Waqt Kahkasha Tulu'a Hota He To Aasmani Aafat Dafa'a Ho Jati He.

Fasl Rabee'a Ks Teen Aakhri Mahino Ke Pahld Maah Ki 12vi Tarikh Ke Baad Kahkashañ Ka Subah Ke Tulu'a Ka Aagaz Hota He Or Vo Teen Maah Ye He 1.March 2.April 3.May. Goya May Ki 12 Tarikh Ke Baad Kahkashañ Ke Subah Ke Waqt Tulu'a Ke Waqt Aagaz Hota He.
*📚(Tafsire Ruhool Bayan, Jild-8)*

Surayya Ke Muta'alliq Mutlaqa Ahadees Me He,
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: إِذَا طَلَعَ النَّجْمُ ذَا صَبَاحٍ، رُفِعَتِ الْعَاهَةُ
Tarjama: Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marwi He RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jab Subah Najam Yaani Surayya Sitare Nikle To Waba Door Ho Jayegi.
*📚(Musnad Ahemad, J-14, S-192, Hadees-8495)

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ((مَا طَلَعَ النَّجْمُ ذَا صَبَاحٍ إِلا رُفْعِتْ كُلُّ آَفَةٍ وَعَاهَةٍ فِي الأَرْضِ أَوْ مِنَ الأَرْضِ))
Hazrat Abu Saeed Khudri Ki Riwayat Me He RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jab Bhi Najam Yaani Surayya Sitara Tulu'a Hoga To Us Waqt Zameen Ki Har Aafat Ko Khatm Kar Dega.
*📚(Tarikhe Jarjaan, S-292)*

In Riwayat Se Maloom Hota He Ki  Koi Bimari Khwañ Phal Se Muta'alliq Ho Ya Uska Ta'alluq Insan Se Ho, Agar Waba Paai Jaati He To Surayya Sitare Ke Tulu'a Hone Se Khatm Ya Kam Ho Jayegi.

Magar Ba'az Ahadees Muqeed He Yaani Is Baat Ki Wazahat Karti He Ki Surayya Tulu'a Hone Se Jo Waba Dooe Hoti He Vo Phal Ke Ta'alluq Se He.

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Ki Riwayat,
عَنْ عُثْمَانَ بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ سُرَاقَةَ قَالَ: كُنَّا فِي سَفَرٍ وَمَعَنَا ابْنُ عُمَرَ فَسَأَلْتُهُ، فَقَالَ: ((رَأَيْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا يُسَبِّحُ فِي السَّفَرِ قَبْلَ الصَّلَاةِ وَلَا بَعْدَهَا))
قَالَ: وَسَأَلْتُ ابْنَ عُمَرَ عَنْ بَيْعِ الثِّمَارِ، فَقَالَ: ((نَهَى رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ بَيْعِ الثِّمَارِ حَتَّى تَذْهَبَ الْعَاهَةُ)) قُلْتُ: أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ وَمَا تَذْهَبُ الْعَاهَةُ، مَا الْعَاهَةُ؟ قَالَ: ((طُلُوعُ الثُّرَيَّا))
Tarjama: RasoolAllah ﷺ Ne Waba Ks Jaane Se Pahle Phal Bechne Ss Mana'a Farmaya, Raawi Kahte He Mene Arz Kiya: Ay Abu Abdur Rahman: Waba Ka Jana Kya He, Waba Kya He ? Abu Abdur Rahaman RadiAllahu Anhu Ne Farmaya, Surayya Sitara Ka Tulu'a Hona.
*📚(Musnad Ahemad, J-9, S-56 Hadees-5012)*

Or Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Ki Riwayat Me He,
((إِذَا طَلعت الثُريِّا أمِنَ الزَّرْعُ مِنَ العاهَةِ))  طص عن أبي هريرة - رضي الله عنه .
Jab Surayya Sitara Tulu'a Ho Jaye To Kheti Waba Se Mahfooz Ho Jati He.
*📚(Jame U Sageer Lil Imam Suyuti, Hadees-15587)*

In Muqeed Riwayat Or Ahadees Se Pata Chalta He Ki Surayya Tulu'a Hone Se Jo Waba Door Hoti He Iska Ta'alluq Phalo Ki Bimari Se He.

Dono Tarah Ki Ahadees Ke Baad Aulma Ki Taraf Ruju'a Karte He Ti Wazeh Ho Jata He Ki Is Muaamla Ms Aksar Aulma Bhi Isi Baat Ke Qaail Hs Ki Surayya Se Jo Waba Khatm Hoti He, Usse Murad Phalo Ki Waba He.

Lihaza Wazeh He Ki,
Ek Hadees Dusri Hadees Ki Wazahat Karti He, Is Liye Yahañ Surayya Ki Wajah Se Door Hone Wali Waba Aam Nahi Balki Phalo Wali Waba He.

Aksar Aulma E Kiram Surayya Ke Zariya Phalo Ki Waba Door Hone Ke Qaail He, Is Liye Hame In Ahadees Ko Insani Waba Ya Aam Waba Par Mahmool Nahi Karna Chahiye.

Surayya Ke Tulu'a Hone Se Bimadi Ka Door Hhona Aglani Ya Laazmi Nahi.

Nateeja Ye He Ki Surayya Sitara Me Bazaat Khud Koi Taseer Nahi Ki Vo Waba Door Kare, Balki Allah Ta'ala Ne Usko Sirf Waba Door Hone Ki Alamat Banaya He, Yaani Ye Aqida Hona Zaroori He Ki Jab Allah Ta'ala Chahega Tabhi Surayya Ke Tulu'a Hone Se Waba Door Hogi Warna Nahi. Or Hamara Yahi Aqida Hota He Ki Allah Ta'ala Jab Chahe To Hi Shifa Hasil Hogi Warna Nahi.
Magar Allah Ta'ala Se Shifa Yaabi Ki Ummid Qawi Rakhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Makhuz Jawabe: Hazrat Allama Mufti Abrar Ahemad Amjadi Sahab Qibla, Markazi Tarbiyat Ifta*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 April 2020, 3 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Abu Jahal Ke Bete Hazrat Akrama Ne Islam Qubool Kiya Tha Tha

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Abu Jahal Ke Bete Akrama Ne Islam Qubool Kiya Tha ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
ji Hazrate Akrama ne fathe makka ke baad islam Qubool kya, us ke baad kai gazwat me sharik bhi huye, sarkar ke sath bhi jihad kiya.
Wallahu Aa'alam
*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Maulana Mahefooz Aalam Razvi Sahab*
*📬Khatibo Imam Hebat Khan Masjid, Ahemdabad Gujrat*
*🗓️16 April 2020 Iswi, 21 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gutna Khula Rakhne Se Wuzu Hoga Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Mard Ka Wuzu Karte Waqt Patloon Itni Unchi Karna Ki Ghutne Nazar Aaye, Kya Isse Wuzu Ho Jayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wuzu Karte Waqt Gutna Khola Rakhna Aadabe Wuzu Ke Khilaf He, Or Bila Wajah Satar Kholna Mana'a Or Dusro Ke Samne Satar Kholna Haram He, Magar Is Soorat Me Wuzu Ho Jayega.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Awam Mme Jo Mash'hoor He Ki Ghutna Ya Or Satar Khulne Yaa Apna Ya Paraya Satar Dekhne Se Wuzu Jata Rahta He, Mahaz Be Asl Baat He. Haañ Wuzu Ke Aadab Se He Ki Naaf Se Zaano Ke Niche Tak Sab Satar Chhupa Ho Balki Istenje Ke Baad Fauran Hi Chhupa Lena Chahiye Ki Bagair Zaroorat Satar Khola Rahna Mana'a He Or Dusro Ke Samne Satar Kholna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-2, S-31)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Breath Cancer Wali Aurat Ko Roza Or Namaz Ka Hukm

*🌹JAWAB:-🌹*
Assalamualaikum
Janab Yeh Batain K Breath Kainser Ka Zakham Hai Usme Se Ganda Pani Nikalta Hai Ruk Ruk K Aur Badboo Bhi Aati Hai Aise Me Roza Ya Namaj Kaise Hogi.

Jald Se Jald Jawan Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Har Vo Shakhs Jiskko Aysi Koi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Mazooor He Uskaa Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle Or Aakhir Waqt Tak Jitni Namaze Chahe Us Wuzu Se Padhe. Us Bimari Se Uska Wuzu Nahi Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana Ya Hawa Kharij Hoona Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Fode Ya Nasoor Ss Har Waqt Ratoobat Bahna Ya Kaan Naak Ya Chhati Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariya Wuzu Todne Wali He Unme Jab Pura Ek Waqt Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Padh Saka To Ye Majboori Hogi Oe Mazoor Samjha. Jayega.

Jab Uzr Saabit Ho Gaya To Jab Tak Har Waqt Me Ek Baar Bhi Ye Cheez Paai Jaaye Mazoor Hi Rahega, Jaise Aurat Ko Ek Waqt To Istehaza Ne Taharat Ki Mohlat Di Ab Itna Mauka Milta He Ki Wuzu Karke Namaz Padhle Magar Ab Bhi Ek Aadh Baar Har Waqt Me Khun Aa Jata He To Ab Bhi Mazoor He, Yuhi Tamam Bimariyon Me. Or Jab Pura Waqt Guzar Gaya Or Khun Nahi Aaya To Ab Mazoor Na Rahi Jab Fir Kabhi Pahli Halat Paida Ho Kaye Fir Mazoor He Uske Baad Fir Agar Pura Waqt Khali Gaya To Uzr Jata Raha.
*📚(Bahare Shariyat, J-2, Istehaza Ka Bayan)*

Lihaza Soorate Mas'ula Me Aurat Ko Breath Cancer Ki Bimari Me Agar Ganda Paani Ya Khun Is Tarah Aata He Ki Farz Namaz Ke Pure Waqt Ko Is Tarah Gher Le Ki Itna Bhi Waqt Nahi Milta Ki Usme Wuzu Karke Ek Waqt Ki Namaz Padh Sake To Vo Ma'azroor He. Or Mazoor Ka Hukm Ye He Ki Har Namaz Ke Waqt Ke Liye Taza Wuzu Karle Or Us Waqt Me Jitni Namaz Chahe Padhe.

Raha Roze Ka Hukm To Is Marz Me Roza Rakh Sakti He Koi Khas Diqqat Na Honi Chahiye Warna Rukhsat Hogi, Or Itne Ki Qaza Karegi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Haiz Wali Aurat Ko Rozedar Ki Tarah Rahna Zaroori He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Kisi Ka Sawal Hai Ke Jab Aurat Ko Haiz Ata Hai To Kya Wo Ramzan Ke Mahine Mein Jaisa Rozedar Rehte Hai Waisa Reh Sakti Hai... Bina Kuch Khai Piye Aur Kuch Aurate Kehti Hai Jab Haiz Hota Hai To Roze Ki Halat Jaisa Hi Rehte Bina Khai Aisa Kehna Kaisa Hai Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Haiz W Nifas Wali Ke Liye Ikhtiyar He Ki Chhup Kar Khaye Ya Zahiran, Roza Ki Tarah Rahna Us Par Zaroori Nahi. Magar Chhup Kar Khana Awla He Khusoosan Haiz Wali Ke Liye.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-139)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roza Me Haiz Aa Jaye To Roza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat. 

Agar Halate Roza Me Haiz Aye To Roza Mukkammal Karna Hoga Ya Todna Hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roza Ki Halat Me Aurat Ko Haiz Ya Nifaas Aa Gaya To Roza Tut Gaya Baad Me Uski Qaza Kare Agar Roza Farz Tha To Qaza Farz He, Or Nafl Tha To Qaza Wajib.
*📚(Fatawa Aalamgiri J-1, S-207, Kitabus Som)*
*📚(Roza Ke Zaroori Masail, S-82)*

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Aurat Ko Jab Haiz W Nifas Aa Gaya To Roza Jata Raha.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-139)*

Lihaza Roza Me Jis Waqt Haiz Aaya Usi Waqt Roza Tut Gaya, Vo Gair Roze Daar Ki Tarah Khaa Pee Sakti He Magar Bahetar He Logo Ke Samne Na Khaye Chhup Kar Khaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iftar Ki Duaa Bhul Jaye To Roze Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Roza Khale Ne Ke Baad Dua Padhna Yaad Nhi Aayi To Namaz E Magrib Main Yaad Aaya Ke Dua E Iftar Nhi Padhi Main Ne To Uswaqt Padhne Se Roza Hoga Ya Nhi?????

Kate Huye Baalo Ko Dafna Dena Chahiye

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae. Ekram Ki Bargah Main Ek..
Sawal- Ke Jab Hum Selon Main Baal Katne Jaate Hain To Baal Cut Hone Ke Baad Niche Gir Jaate Hain Fir Wo Fenka Jata Hai Aur Bhi Hamare Jism Ka Ek Hissa Hota Hai Aur Dadhi Ke Baad Jab Ek Musht Hone Baad Kata Jaata Hai To Kya Dafnana Chahiyee,
Rehnumaai Farma'e..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hukm Yahi He Ki Baalo Ko Dafn Kare.

Bahare Shariyat Me He,
Tarashwane Ya Mundane Me Jo Baal Nikle Unhe Dafn Karde, Isi Tarah Nakhun Ka Tarasha Pakhana Ya Gusl Khana Me Unhe Dal Dena Makrooh He Ki Is Se Bimari Paida Hoti He. Mue Zere Naaf Ka Aysi Jagah Daal Dena Ki Dusro Ki Nazar Pade Najaiz He.

Char Cheezo Ke Muta'alliq Hukm Ye He Ki Dafn Kardi Jaye, Baal Nakhun, Haiz Ka Lata(Yani Vo Kapda Jisse Aurat Haiz Ka Khun Saaf Kare), Khun.
*📚(Bahare Shariyat, H-16)*
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️24 April 2020 Iswi, 29 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tarawih Me 4 Raka'at Par Salam Ferna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Tarawih 4 Rakat Me Salam Ke Saath Pd Skte Hain Ya Hr 2 Rakat Me Salam Pherna Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Behtar Aur Munasib Yahi Hai K Do Do Rakat Karke Hi Namaze Taravih Ada Ki Jaye, Phir Bhi Kisi Ne Padhi Aur Har Do Rakat Par Qaida Karta Raha To Namaz E Taravih Ho Jayegi .

Bahar E Shariat Me Hai,
Tarawih Ki 20 Raka'ate 10 Salam Se Padhe Yaani Har Do Raka'at Par Salam Fere Or Agar Kisi Ne Biso Padh Kar Aalhir Me Salam Fera To Agar Har Do Raka'at Par Qa'ada Na Kiya Tha To Do Raka'at Ke Qaaim Maqam Huye.
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️24 April 2020 Iswi, 29 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ham Roza Kyu Rakhte Hai ? Roza Rakhne Ki Hikmate Kya He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Roza Rakhne Ki Kya Hikmate (Logic) He, Tafsil Se Bataye ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sabe Pahle To Ye Ilm Hona Zaroori He Ki Allah Ta'ala Ke Asma'a Me Se Ek "Al-Hakeem" Bhi He, Yaani Hikmat Wala, Lihaza Allah Ta'ala Ne Jo Bhi Ahkam Muqarrar Kiye Hai Vo Sab Ke Sab Azeem Hikmato Par He, Baaz Awqat To Hame Uski Kuchh Hikmat Ka Ilm Hota He Or Baaz Awqat Hamari Aqle Uski Hikmat Ka Idraak Nahi Kar Paati, Or Bahut Saari Hikmate Ham Par Makhfi Rahti He.

Allah Ta'ala Ne Ham Par Rozo Ko Farz Or Mashroo'a Karte Huve Uski Hikmat Ka Bhi Zikr Kiya He,

Qura'an Majeed Me Rab Ta'ala Farmata He,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
Yaani, Ay Iman Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gay Jaise Aglo Par Farz Huye The Ki Kahiñ Tumhe Parhezgaari Mile.
*📚(Surah Baqra, Aayat-183)*

Aayat Ke Aakhir Me Bataya Gaya Ki Roze Ka Maqsad Taqwa W Parhezgaari Ka Husool He. Roze Me Chunke Nafs Par Sakhti Ki Jaati He Or Khane Pine Ki Halal Cheezo Se Bhi Rok Diya Jata He Us Se Apni Khwahishat Par Qaboo Paane Ki Mashq Hoti He Jis Se Zabte Nafs Or Haram Se Bachne Par Quwwat Hoti He Or Yahi Zabte Nafs Or Khwahishat Par Qaboo Vo Bunyadi Cheez He Jis Ks Zariye Aadmi Gunaho Se Rukta He.

Qura'an Paak Me He,
وَأَمَّا مَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِ وَنَهَى النَّفْسَ عَنِ الْهَوَىٰ فَإِنَّ الْجَنَّةَ هِيَ الْمَأْوَىٰ
Yaani,  Or Jo Apne Rab Ke Huzoor Khade Hone Se Dara Or Nafs Ko Khwahish Se Roka, Beshak Jannat Hi Thikana He.
*📚(Surah Naziaat, Aayat-40,41)*

Chunanche Huzur Mufti Ahemadyaar Khan Naeemi Alaihir Rahmato Ridwan Roza Ki Hikmate Bayan Karte Huye Farmate He,

Pet Bharne Se Nafs Qawi Hota He Or Khali Rahne Se Rooh Me Quwwat Aati He, Rooh Or Nafs Hamare Goya Do Baazu He, Ya Insani Zindagi Ke Do Pahiye, Lihaza Kuchh Din Nafs Ko Giza Do Kuchh Din Rooh Ko Neez Roza Pet Ki Tamam Bimariyon Ka Ilaj He Agar Koi Har Maah Me Tin Din Roze Rakh Liya Kare To Vo Shikmi Amraaz Se Mahfooz Rahega. Neez Roze Se Faqeer Or Faaqa Ki Qadr Maloom Hoti He, Or Faqeer Ki Imdad Ko Dil Chahta He, Roze Me Apni Bandagi Or Rab Ki Milkiyat Ka Izhaar Hota He Ham Apni Kisi Cheez Ke Mustaqil Malik Nahi, Ghar Me Sab Kuchh He Magar Rab Ne Rok Diya To Kuchh Istemal Nahi Kar Sakte, Roze Se Bhuk Bardasht Karne Ki Aadat Rahti He Ki Agar Kabhi Faqa Darpesh Aa Jaaye To Roza Daar Sabr Karega, Rooh Jism Me Aane Se Pahle Giza Se Mahfooz Thi Lihaza Gunah Se Bhi Bari Thi, Jism Me Aakar Giza Ki Hajat Mand Hui, Lihaza Gunah Bhi Karne Lagi Ab Kuchh Waqt Use Bhuka Rakho Taaki Use Apni Pahli Halat Yaad Rahe Or Gunah Se Baaz Rahe.
*📚(Asrarul Ahkam Ba Anwarul Qura'an, S-18)*

Lihaza Roza Allah Ta'ala Ki In'aam Karda Ne'amato Ka Shukr Ada Karne Ka Wasila He, Roza Khana Pina Tark Karne Ka Naam He, Or Khana Pina Ek Bahut Badi Ne'amat  He, Lihaza Is Se Kuchh Der Ke Liye Ruk Jana Khane Pine Ki Qadro Qimat Ma'aloom Karata He, Ye Sab Kuchh Uske Shukr Karne Par Ubhaarta He,

Roza Rakhne Me Shahwat Par Qaboo Paya Jata He, Kyu Ki Jab Nafs Seer Huva Or Pet Bhara Huva Ho To Vo Shahwat Ki Tamanna Karne Lagta He, Or Jab Bhuka Ho To Fir Khwahishat Se Bachta He.

Roza Masakeen Par Rahmat Maherbani Or Narmi Karne Ka Baaes He, Is Liye Ke Jab Roza Daar Kuchh Waqt Ke Liye Bhuka Rahta He To Fir Use Us Shakhs Ki Halat Yaad Aati He Jise Har Waqt Hi Khana Naseeb Nahi Hota, To Vo Us Par Maherbani Or Raham Or Ahsaan Karne Par Ubharta He. Lihaza Roza Masakeen Garibo Par Maherbani Ka Baaes He.

Roza Se Dil Saaf Hota He Or Zikro Fikr Ke Liye Farig Ho Jata He, Kyu Ki Khwahishat Ko Pura Karne Se Dil Sakht Or Haq Se Andha Ho Jata He Or Roza Dil Ki Quwwat W Sehat Ki Hifazat Karta He.

Roza Me Momin Kasrate Ita'at Ka Aadi Banta He, Kyu Ki Rozadaar Roza Ki Halat Me Zyada Se Zyada Ita'at W Farmabardari Karta He.

Roze Ki Ek Hikmat Ye Bhi He Ki Isse Bahut Sare Ayse Tibbi Fawaid Hasil Hote He. Jisse Vo Uski Sehat Tandurast Or Kai Bimariyo Se Mahfooz Rahti He, Isi Tarah Khane Ke Awqat Ka Lihaz Rakhne Or Ma'ada Ko Ek Muayyina Muddat Ke Liye Aaram Dene Se Insani Jism Ko Sehat W Tawanaai Hasil Hoti He.

Khulasa Ye He Ki Roza Me Azeem Hikmte Or Bahut Se Fawaaid He Neez Roza Par Allah Ta'ala Ne Bada Sawab Or Ajre Azeem Rakha He. Or Bhi Kai Bahut Si Hikmate He Jo Hamse Poshida He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Haj Ke Liye Bhari Hui Raqam Par Zakat Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate He Aulma E Kiram Aulma E Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me Ki Jo Rupya Haj Ke Liye Bataure Qist Jama'a Kiye Ja Chuke He Vo Kharch Me Shumar Hoge Ya Fir Unki Zakat Ada Ki Jayegi Or Haj Ka Koi Pata Nahi Is Saal Hoga Ki Nahi.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ada Haj Ke Waste Jitni Raqam Haj Commety Ko Di Jaa Chuki He Us Par Zakat Wajib Nahi Is Liye Ki Milkiyat Garche Baaqi He Lekin Qabza Jo Zakat Wajib Hone Ki Shart Se He Uske Na Hone Ki Wajah Se Un Jama'a Shuda Raqam Par Zakat Wajib Na Hogi.

Aalamgiri Me He,
ومنہا الملک التام ہو ما اجتمع فیہ الملک والید وأما إذا وجد الملک دون الید کالصداق قبل القبض أو وجد الید دون الملک کملک المکاتب والمدیون لاتجب فیہ الزکوٰۃ الخ۔
*📚(Kitabuz Zakat, Baabul Awwal, J-1, S-172)*

Bahrur Raaiq Me He,
اطلق الملک فانصرف الی الکا مل وھوالمملوک رقبۃ ویدا
*📚(J-2, S-355, Matbuaa Zakarya)*

Bahare Shariyat Me He,
Pure Taur Par Us Ka Malik Ho Yaani Us Par Qabiz Bhi Ho.
*📚(H-5, Zakat Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Ata Muhammad Mushahidi Sahab Qibla*
*📬Sadrush Shoaba Wal Ifta Darul Uloom Hashmatur Raza Pilibhit Shareef Up*
*🗓️26 April 2020 Iswi, 2 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roza Me Mani Nikal Gai To Roza Tutega Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Mani Roze Ki Halat Me Nikal Gai Bina Kuchh Kiye To Uska Roza Tootta He Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bagair Kuchh Kiye Mani Nikalne Se Roza Nahi Tutega Haañ Us Par Gusl Wajib Ho Jayega,

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Mujrad (Sirf) Khayal Baandh Ne Se To Roza Aslan Nahi Jata Agarche Usi Halate Tasawwur Hi Me Shahwat Ke Sath Inzal Ho Jaye, Haañ Liptaane Ya Bosa Lene Ya Hath Lagane Ki Halat Me Agar Inzal Ho To Roza Fasid Ho Kar Qaza Lazim Aayegi Or In Af'aal Ke Khatm Ke Baad Shahwate Hunooz Baqi Rahi Or Us Halat Me Ki Ye Aurat Ke Jism Se Juda He Mani Utri Or Ba-Shahwat Nikal Gai To Agarche Gusl Wajib Hoga Magar Roza Na Jayega Ki Ye Inzal Un Af'aal Se Na Huva Balki Mujrad (Sirf)Tasaawur Huva,
*📚(Fatawa Razviya, J-10, S-484)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 April 2020 Iswi, 2 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Halate Roza Me Hont Se Khun Nikle To Roza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Raze Dar Ke Hout Fat Ke Khon Aajae To Roza Tootega Kya?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hont Se Khun Nikla Or Agar Halq Se Niche Utar Gaya Or Uska Maza Mahsoos Ho To Roza Toot Jayega, Or Agar Khun Nikla Halq Se Niche Naa Utra Ya Halq Me Maza Mahsoos Na Huva To Roza Na Tutega.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Danto Se Khoon Nikal Kar Halq Se Niche Utra Or Khun Thuk Se Zyada Ya Barabar Tha Ya Kam Tha, Magar Uska Maza Halq Me Mahsoos Huva To In Sab Soorto Me Roza Jata Raha Or Agar Kam Tha Or Maza Bhi Mahsoos Na Huva To Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-121)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roza Me Ehtelam Ho Jaye To Gusl Kis Tarah Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Roze Me Agar ihtelam Ho jaye to gusl kaise kare??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roza Shuru Hone Se Pahle Gusl Farz Huva Ya Roza Me Ehtelam Ho Jane Ki Wajah Se Gusl Farz Ho To Roza Ki Halat Me Gusl Ke Tamam Faraiz Ada Kiye Jayege. Gusl Me Kulli Karna Or Naak Me Narm Hissa Tak Paani Pahunchana Or Tamam Badan Par Ek Martaba Pani Bahana Farz He, In Faraizo Ke Bagair Na Gusl Utrega Or Naa Namaze Hogi.

Rozadaar Ko Wuzu Ke Dauran Gargara Nahi Karna Chahiye,

Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Wuzu Or Gusl Me Gargara Sunnat He Magar Roza Daar Ko Makrooh Ki Kahi Paani Halq Ke Niche Na Utar Jaye Gair Roza Daar Ke Liye Gargara Sunnat He.

Or Agar Naak Ke Andar Kasaafat Jami He To Lazim Ki Pahle Use Saaf Karle Warna Uske Niche Paani Ne Uboor Na Kiya To Gusl Na Hoga.

Ehtiyat Se Naak Ki Jad Tak Paani Chadaye Usse Uppar Tak Use Na Chahiye Ki Kahi Paani Dimag Ko Na Chad Jaye Magar Roza Daar Isse Bache Haañ Tamam Narm Baanse Haddi Ke Kinare Tak Pura Dhoye.
*📚Makhuz:(Fatawa Razviya, J-2, S-594,597)*

Lihaza Rozadaar Ko Gargara Nahi Karna Chahiye Or Na Is Tarah Naak Me Paani Chadaye Ki Paani Dimag Me Chad Jaye, Naak Ke Aage Ki Tamam Narm Haddi Tak Dhole. Or Baaki Tamam Badan Par Paani Bahaye Jesa Aam Gusl Me Karte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 April 2020 Iswi, 2 Ramzan 1441 Hijri*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roza Me Thuk Aaye To Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Sawal- Roze Ki Halat Main Nmaz Ke Liye Wazu Karne Ke Baad Nmaz Main Mu Main Thook Jama Ho Jata Hai To Roze Ki Halat Main Usko Nigal Lena Chahiyee Aur Ager Nhi Nigla To Bahar Ajegaa?????????
Rehnumaai Farma'e

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Baaz Log Roze Me Baar Baar Thukte Rahte He, Shayad Vo Samajhte Hai Ki Roze Me Thuk Nahi Nigalna Chahiye, Aysaa Nahi. Albatta Munh Me Thuk Ikaththa Kar Ke Nigal Jana, Ye To Bagair Roza Ke Bhi Napasandida He Or Roze Me Maakrooh.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-5, S-133)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roze Me Me Naha Sakte He Ha Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Sawal Arz Hain.
Rooze Ki Halat Main Nhaa Sakte Hain Ya Nhi Aur Pure Din Main Kis Time. Takh....nhaaana Chahiyee

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roze Ki Halat Me Thandak Hasil Karne Ke Liye Nahana Jaiz He, Or Isse Roze Par Koi Asar Nahi Hoga Or Na Hi Roza Totega. Albatta Agar Pareshani Zahir Karne Ke Liye Baar Baar Nahaye To He Napasandida He.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Thandak Ke Liye Nahana Balki Badan Par Bhiga Kapda Lapetna Makrooh Nahi. Haañ Agar Pareshani Zahir Karne Ke Liye Bhiga Kapda Lapete To Makrooh He Ki Ibadat Me Dil Tang Hona Achchi Baat Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-133)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iftar Ki Dua Kab Padhe ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Iftar Karne Ki Dua Kab Padhi Jaye, Iftar Karne Se Pahle Ya Baad ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Roza Iftar Karne Ki Dua Iftar Ke Baad Padhi Jaaye, Hadees Shareef Me He Ki,
عن معاذ بن زھرۃ قال النبی صلی اللہ تعالی علیہ و سلم کان اذا افطرقال الھم لک صمت وعلی رزقک افطرت-
*📚(Mishkat Shareef, S-175)*

Hazrat Mulla Ali Qari Rahematullah Alaihi Mirqaat Sharah Mishkat Me Is Hadees Shareef Ki Sharah Karte Huve Taherir Farmate He Ki,
کان اذا افطر قال ای دعاو قال ابن المللک ای قرأ بعد الا فطار ھذا ماعندی
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-516)*

Or Huzur Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Farmate He,

اللَّهُمَّ اِنِّى لَكَ صُمْتُ وَبِكَ امنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ  وَعَلَى رِزْقِكَ اَفْطَرْتُ
Tarjama: Ay Allah Mene Tere Liye Hi Roza Rakha Or Tujhi Par Iman Laya Or Tere Hi Diye Huye Rizq  Se Roza Khola.

Mas'ala Ye He Ki Ye Dua Roza Kholne Ke Baad Padhi Jaani Chahiye, Yaani Roza Iftar Karne Ke Baad Roza Daar Kha Pee Le Fir Mazkoora Bala Duaa Padhe,

Ye Daleel He Is Baat Ki Ke Kaam Roza Rakhna Or Iman Lana Pahle He Yuñhi  وَعَلَى رِزْقِكَ اَفْطَرْتُ Tere Hi Rizq Par Iftar Kiya Bhi Maazi He, Jo Ki Ye Daleel He Is Baat Ki Ke Duaa Roza E Iftar Yaani Khane Pine Ke Baad Ho.
*Makhuz:📚(Iftare Roza Ki Dua Ki Tahqiq)*
Mazeed Tafsil Ke Liye *📚Fatawa Razviya* Ka Bhu Muta'ala Farmaye

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab To
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khwab Me Kutta Or Saanp Dekhna

*🌹SAWAL:-🌹*
Khwab me kutta dikhna aur sanp ka dasna aur baad me khoon nikalna kaisa hai???

*🌹JAWAB:-🌹*

Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Farmate He,

Khwab Me Kutte Ko Dekhne Ki Tabeer Ye He Ki Dushman Zaeef Se Muqabla Ho Jaye Magar Nuqshan Usko Na Pahucha paaye.

Or Khwab Me Kutte Ka Katne Ki tabeer Ye Ki Dushman Se Muqabla Ho.

Or Saanp Ko Dekhne Ki Tabeer Ye He Ki Agar Siyah Ho Daulat Mile Warna Nuqshan Pahunche.
*📚Makhuz(Khwabo Ki Ta'abeer)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khwab Me Machhli Khate Dekhna

*🌹SAWAL:-🌹*
Khwab me kisi machhali ka gosht khana kaisa hai ke kisi shakhs ne khawab me darya ke kinare barf wali ilake me  fish ka gosht diya or wo maine khaya iski kya tabeer hai, gost sijhi hui thi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Khwab Me Machhli Khane Ki Tabeer Ye He Ki Dost Se Malamal w Aali Martaba W Zee Kamal Ho,

Or Chhoti Machhli Ko Dekhna Ranjo Alam  Ki Daleel He.
*Makhuz📚(Khwabo Ki Ta'abeer)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tarawih Me Surto Ki Yarteeb Zaroori He Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Taravi Me Suraton Ko Tarteeb War Padne Sehi Namaz Hogi Ya Jo B Surat Padne Se Hojayegi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Koi Zaroori Nahi He Ki Aap Tarteeb Se Tarawih Me Surto Ko Padhe, Balki Baqadre Farz W Wajib Yaani Farz Or Wajib Ki Adayegi Ke Liye Qura'an Shareef Jitna Padhna Zaaroori He Aap Utna Padhe, Fir Bhi Aap Ki Tarawih Ki Namaz Ho Jayegi, Haañ Ye Baat Zaroori He Ki Aap Ulta Qura'an Shareef Na Padhe Yaani Ulti Surte Na Padhe, Misal Ke Taur Par Pahle Tabbat Yada He Uske Baad Qul Hawallahu Ahad He Uske Baad  Sura E Falaq Uske Baad Sura E Naas He, To Use Ulta Karke Na Padhe Isi Tarteeb Se Padhe.

Har Do Rakat Me Qirat Yani Quran Padhne Ka Alag Alag Hukm Hai Yani Pahli Do Rakat Me Jo Padha Usi Surat Ko Bad Vali Rakat Jo Salam Ferne Ke Baad Padhi Usme Me Bhi Padh Sakta Hai. Aur Bar Bar Usi Do Surat Ko Bhi Har Do Rakat Me Bhi Padh Sakta Hai ...bas Ye Khayal Rakhhe K Ulti Tartib Na Ho Jaye Magar Ye Hukm Usi Do Rakat Me Hai Bad Taravih Ki  3aur 4 Rakat Me Padhega To Ye Ulti Tartib Na Hogi....misal Ke Tor Par Pehli Do Rakat Me Surah E Falaq Padhi Aur Dusri Me Naas Aur Bad Me Jab 3aur 4 Rakat Me Sura E Maoon  Aur Kausar Padhi To Tartib Ulti Na Hogi ...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Lockdown Me Kahi Or Ramzan Ka 29va Chand Nazar Aaye Or Ilaqe Me Na Nazar Aaye To Kya Kar

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate He Aulma E Kiram Is Mas'ale Me Ki Agar Kisi Jagah Ramzanul Mubarak Ka Chand 29 Ko Nazar Aaye Or Kisi Ilaqe Me Nazar Na Aaye To Us Ilaqe Wale Chand Ki Shahadat Kaise Hasil Karege. Jab Ki Lockdown Ki Wajah Se Aana Jana Na Mumkin. Iski Kya Soorat Hogi. Rahnumai Farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aysi Soorat Me Aap Is Hadees Shareef Par Amal Kare,
صوموا لرؤيته وأفطروا لرؤيته؛ فإن غم عليكم فأكملوا العدة ثلاثين
*📚رواه مسلم في (الصيام) باب وجوب صوم رمضان لرؤية الهلال والفطر لرؤيته برقم 1081*
*📚والنسائي في (الصيام) باب ذكر الاختلاف على عمر بن دينار برقم 2124، واللفظ له.*

 اللفظ الآخر: صوموا لرؤيته وأفطروا لرؤيته؛ فإن غم عليكم فصوموا ثلاثين[2]. وفي اللفظ الآخر: فأكملوا عدة شعبان ثلاثين يومًا۔۔۔۔
Yaani Huzur ﷺ Farmate He, Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo Or Chand Dekh Kar Iftar Karo Agar Abar Ho To Shaban Ki Ginti 30 Puri Karlo.

Or Apne Ilaqe Ke Mustanad Aulma E Kiram Ki Itba'a Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dedh Lakh Rupye He Or 4 Lakh Qarz He To Zakat Ka Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Zaid K Pas Ded Lakh Rupay Hain. Aur Char Lakh Se Zyada Karz B Hai. To Kya Zaid Ko 1 Lakh Ki Zakat Deni Hogi , Agar Han To Kitni ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aap Par Koi Bhi Zakat Nahi He, Yaani Un Ded Laakh Rupyo Me  Ek Bhi Rupya Zakat Nahi He, Qaaida Ye Yaad Rakkha Jaye Ki Aadmi Par Jitna Qarz Ho Us Qarz Ko Nikal Kar Jitni Raqam Bache Agar Vo Nisab Ke Barabar He Yaani Nisab Se Zyada He To Ab Uski Zakat Wajib Hogi, Or Agar Qarz Puri Ke Puri Raqam Ko Ger Le To Us Waqt Zakat Wajib Nahi Hogi.
Aysa Hi *📚Bahare Shariyat* Me He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jug Me Hath Daal Kar Wuzu Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamualaikum, Kya plastic jug mein hath dalke wazu kar sakte hai jawab inayat farmai Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Pahle hath dho liye hain, to plastic hi kya har jug me hath dal kar wuzu kar sakte hai, warna yuñ hi hath dal diya to sara pani mustamal ho gaya, ab us se wuzu jaiz nahin.
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah w Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodra, Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat KO chaar Shadi Ki Ijazat Kyu Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Mas'ala Zail Me Ki Mard Char Shadiya Kaar Sakta He Lekin Aurat Kyuñ Nahhii. Iski Wazahat Farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Aurat Char Shohar Wali Hogi To Awlad Ka Ta'ayyan Kaise Hoga Ki Ye Bachcha Kis Shohar Ka He, Hamesha Jagda Rahega.

Kabhi Ek Bachcha Ke Liye Charo Shohar Ladege Ki Ye Bachcha Mere Nutfe Ka He Yaani Ye Bachcha Mera He,

Or Kabhi Parwarish Ke Liye Bhi Shohar Apnane Ke Liye Tayyar Na Hoga Yaani Har Shohar Inkar Kar Dega Ki Ye Bachcha Mera Nahi, Or Us Bachche Ki Parwarish Me Khalal Padega, In Hi Saari Pecheedgiyo Ke Peshe Nazar Shariyat Ne Hukm Diya Ki Aurat Ek Shohar Se Shadi Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodra Gujrat_*
*🗓️15 April 2020 Iswi, 20 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khala Ki Ladki Se Nikah Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamu Alaikum Hazrat.
Aik Ladki Jiske Maa Baap Marne K Bad Uski Khala Ne Use Pala Pos Kar Bada Kiya.

Aur Ab O Khala Apne Hi Bete Ka Nikah Us Ladki K Sat Karna Chahe To Karsakti Kya Hazrat ?

*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ
Nikah Kar Sakte Hai ....jab K Voh Razaee Bhai Behan Na Ho. Yani Bachapan (muddate razaat )Me Ek Dusre Ko Ek Dusre Ki Maa Ne Doodh Na Pilaya Ho ...agar Aisa Nahi To Zarur Nikah Ho Sakta Hai
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️15 April 2020 Iswi, 20 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khade Ho Kar Wuzu Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum
Kya Wozu Khade Ho Kar Bhi Kar Saktey Hain Agar Nahi To Thoda Tafsil Se Jawaab Inayat Farmai Apki Badi Meherbani Hogi Hazrat
*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ
Bila Zarurat Khade Hokar Nahi Karna Chahiye ..balki Beth Kar Qibla Ru Hokar Wuzu Karne Ka Ehtemam Karna Chahiye. Lekin Agar Khade Khade Kar Liya To Vazu Hogaya ....
ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 April 2020 Iswi, 18 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Ki Jagah Par Mayyat Ke Kiye Gusl Khana Banana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Arz Ye He Ki Masjid Ki Nai Ta'ameer Ho Rahi He Pahli Masjid Thi Us Md Mayyat Ke Liye Gusl Khana Nahi Tha Ab Nai Masjid Ki Ta'ameer Ho Rahi He Isme Mayyat Ke Liye Gusl Khana Bana Rahe He To Kya Masjid Ki Jagah Mayyat Ke Liye Gusl Khana Bana Sakte He ? Or Uske Liye Masjid Ka Paani Istemal Me Lana Kaisa ? Benawa Tajroo

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mayyat Ke Liye Gusl Khana Na To Zarooriyate Masajid Se He Or Na Hi Masaaleh Masaajid He. Lihaza Usme Uski Ta'ameer Najaiz Neez Is Wajah Se Bhi Ke Ye Tageere Waqaf He Or Tadeere Waqaf Haram,
Kama Fee Kutube Fiqah,
"لا یجوز تغییر الوقف عن ھیئتہ"
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 April 2020 Iswi, 18 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musalle Par Khana e Kaba Ya Gumbad Ki Tasweer Ho Us Par Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum,
Jis Musalle Per Tasweer Bani Ho. Jese (Kaba Sharifa, Madina Sharif, Masjid E Aqsa ) To Kya Aise Musalle Par Namaz Padh Sakte Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ
Behtar Hai K Na Pade Lekin Padhli To Koi Harj Nahi. K Uska Hukm Asl Ki Tarah
Jaisa K Huzoor Tajusharia رحمۃ اللہ تعالی علیہ Ne Apne Ek Fatwe Me Farmaya ...
Dekhe *📚Markaze Ifta Bariely Sharif* Me..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 April 2020 Iswi, 18 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ghar Ke Aagan Me Se Anaar Ka Ped Kaatna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Anaar Ka Ped Ghar Ke Aagan Me Ugaya Hai. To Usko Kaatna Chahiye Ya Rahega To Koi Problem Nahi
*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ
 Koi Harj Nahi....

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 April 2020 Iswi, 18 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Ke Mic Ki Iqteda Me Gharo Me Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Corona Virus Ki Vajah Se Log Masajid Me Aa Nahi Sakte Panch Afraad Ke Alava Panj Waqtah Namaze Aur Namaz E Jumuaah Bhi Gharo Me Hi Padhi Jati He
Zaid Jo Ek Masjid Ka Imam He Vo Maic Per Namaz Padhata He To Kiya Log Maik Me Aavaz Sun Kar Apne Apne Gharo Me Hi Namaz E Jumuah Tawawih Aur Digar Namaz E Ada Kar Sakte Hen. ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jamhoor Muftiyane Kiram Ke Nazdik Loudspeaker Par Eqteda Sahi Nahi ....ha Agar Imam Sahab Ne Khud Loudspeaker Me Aavaz Nahi Pahunchai Aur Qarib Khade Muqtadiyon Ne Imam Ki Asli Aavaz Par Eqteda  Ki To Imam Aur Muqtadi Hazrat Ki Namaz Ho Gai.......
Aur Rahi Baat Gharo Me Eqteda Karne Vale Logon Ki Namaz To Ye Bil Ettefaq Sab Ke Nazdik Namaz Nahi Hui ...kyu Ki Eqteda Ki Ek Shart Ye Bhi Hai Imam Aur Muqtadi Ke Bichh Etni Jagah Khali Na Ho K Bich Se Koi Bel Gadi Guzarne Ki Jagah Ho. To Is Surat  Me Gharo Per Rehkar Namaz Padhne Valon Ki Namaz Nahi Hogi .....
Jaisa K *📚Bahar E Shariat* Me Hai ...
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 April 2020 Iswi, 18 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zinda Or Murde Barabaar Nahi Quraan Aayat Ki Tafseer

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aur Zinda Or Murde Barabar Nahi Ho Sakte, Allah Jisko Chahta Hd Suna Deta He, Or Aap Unlogo Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabar Me He. Sura E Fatir Aayat-22

Is Aayat  Ko Wahabi Qabro Auliya Allah Par Fit Karte He, Iska Sahih Ma'ana W Tafseer Kya He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

وَ مَا یَسْتَوِی الْاَحْیَآءُ وَ لَا الْاَمْوَاتُ
Tarjama:Or Zinda Or Murde Barabar Nahi.
*📚(Sura E Fatir, Aayat-22)*

Is Aayat Me Zindo Se Murad Momineen Ya Aulma He Or Murdo Se Kuffar Ya Jahil Log Murad He, Inke Bare Me Farmaya Ki Ye Dono Barabar Nahi. Iske Baad Irshad Farmya Ki,
 إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ مَن يَشَاءُ
Tarjama: Beshak Allah Sunata He Jise Chahta He.
*📚(Sura E Fatir, Aayat-22)*

Isse Murad Ye He Ki Jis Ki Hidayat Manzoor Ho Use Allah Ta'ala Iman Ki Taufiq Ata Farmata He.
*📚(Tafsire Khazin, Sura E Fatir, Aayat-19, J-3, S-533)*
*📚(Tafsire Jalalain, Sura E Fatir, Aayat-19, S-344)*

وَ مَاۤ اَنْتَ بِمُسْمِعٍ مَّنْ فِی الْقُبُوْرِ
Tarjama:Or Tum Nahi Sunane Wale Unhe Jo Qabro Me Pade He.
*📚(Sura E Fatir, Aayat-22)*

Aayat Ke Is Hisse Me Kuffar Ko Murdo Se Tashbiya Di Gai Ki Jis Tarah Murde Suni Hui Baat Se Nafa'a Nahi Utha Sakte Or Nasihat Qubool Nahi Kar Sakte, Bad Anjam Kuffar Ka Bhi Yahi Haal He Ki Vo Hidayat W Nasihat Se Faida Nahi Uthate.

Yaad Rahe Ki Is Aayat Se Murdo Ke Na Sunne Par Istedalal Karna Sahih Nahi He Kyu Ki Aayat Me Qabar Walo Se Murad Kuffar He Na Ki Murde Or Sunne Se Murad Vo Sunna He Jis Par Hidayat Ka Nafa'a Murattab Ho, Or Jahañ Tak Murdo Ke Sunne Ka Ta'alluq He To Ye Kaseer Ahadise Kaseera Se Sabit He.

Hazrat Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Saiyedul Mursaleen  ﷺ Ne Irshad Farmaya, Jab Bande Ko Uski Qabar Me Rakh Diya Jata He Or Log Dafan Karke Palatte He To Beshak Vo Yaqeenan Tumhare Jutoñ Ki Aawaz Sunta He.
*📚(Bukhari, Kitabul Janaiz, Hadees-1338, J-1, S-450)*

Hazrat Umar Farooq RadiAllahu Anhu Farmate He, RasoolAllah ﷺ Hame Kuffare Badar Ki Qatl Gaahe Dikhate The Ki Yahañ Falañ Kafir Qatl Hoga Or Yahañ Falañ, Jahañ Jahañ Huzur E Aqdas  ﷺ Ne Bataya Tha Wahiñ Wahiñ Unki Laashe Giri, Fir Aap  ﷺ Ke Hukam Se Unki Lasheek Kunve Me Bhardi Gai. Sarkare Do Aalam  ﷺ Wahañ Tashreef Le Gaye Or Un Kuffar Ko Unka Or Un Ke Baap Ka Naam Le Kar Pukara Or Farmaya, Jo Sachcha Wa'ada Khuda Or Rasool Ne Tumhe Diya Tha Vo Tum Ne Bhi Pa Liya ? Kyu Ki Jo Haq Wa'ada Allah Ta'ala Ne Mujhe Diya Tha Mene To Use Pa Liya. Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Aap In Jismo Se Kyuñ Kar Kalam Karte He Jin Me Roohe Nahi. Irshad Farmaya, Jo Me Kah Raha Hu Use Tum Unse Kuchh Zyada Nahi Sunte Lekin Unhe Ye Taqat Nahi Ki Mujhe Lot Kar Jawab De.
*📚(Muslim, Safa-1536, Hadees-76 (2873)*

Jab Aam Murda Sun Sakta He To Auliya Allah Ki Shaan Ka Aalam Kya Hoga.

Jo Log Is Tarah Ki Aayat Ka Galat Mafhoom Pesh Karke Auliya Allah Oar Fit Karte He Vo Log Jahil Kam Aql Or Deen Ke Dushman He Aao Ayse Logo Se Door Rahe Or Ayse Na Ahlo Ke Munh Na Lage.

Note: Murdo Ke Sunne Se Muta'alliq Mas'ale Ki Mazeed Tafseel Janne Ke Liye *📚Fatawa Razviya Ki 9vi Jild Me Maujuda Risala 'Hayatul Mawaat Fee Bayane Simaa Il Amwaat'(murdo Ki Sama'at Ke Bayan Me Mufeed Risala)*  Ka Muta'ala Farmaye.

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️12 April 2020 iswi, 17 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tanha Namaz Padhne Wala Takbeer Kahe Ya Nahii

*🌹SAWAL:-🌹*
Farz Namaz Jab Ham Akele Padte Hai To Kya Takbeer Kehna Jaroori Hai Agar Nahi Kaha Seedha Niyyat Bandh Li To Namaz Ho Jayegi.
Rehnumai Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*
Munfarid (Tanha Namaz Padhne Wale) Par Takbeer Wajib Nahi.
Magar Munfarid Bhi Kah Le (Bahetar He) Ki Sahibeen Ke Nazdeek Us Par Bhi Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️12 April 2020 iswi, 17 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Video Call Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
 Video Call Krna Kaisa Shariat Me Iska Kya Hukm Hain.

*🌹JAWAB:-🌹*
Video Call Jis Me Phone Karne Vale Ki Tasvir Jati He Camera Ka Istemal Hota He Aur Tasvir Kashi Bhi Hoti He Aur Har Vo Soorat  Jis Me Tasvir Kashi Ho Na Jaaiz He.

Farman E Huzur Tajushshariah
Http://jamiaturraza.com/session/21Feb10/16.mp3
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️14 April 2020 Iswi, 19 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Chand Ki Khabar De To Ramzan Ka Roza Rakhna

*🌹SAWAL:-🌹*
AssalamuAlaikum Hazrat

👇Hazrat Zaid Ka Sawal Hai'??

Ramzan Ka 29'wan Roza Hua Maghrib Ke Bd Chand Dekhne Ka Ehtemam Hua Par Chand Zaid Ko To Nazar Nahi Aya Aur Kahin Se Bhi Zaid Ko Chand Ki Koi Khabar Nahi Mili Itne Me 2 Gair Muslim Jo Zaid Ke Jan Pehchan Ke Hain Aye Aur Wo Kahne Lage Ke Hum Dono Ne Eid Ka Chaand Dekha Hai Kya Inki Ki Shahadat Khubool Ki Jayegi'????


Jahan Tak Main Janta Hun Mazhabe Islam Me Jab Ke Kisi Fasik Ki Gawai Khubool Nahi Ki Jati Hai To Ab Kisi Gair Muslim Ki Gawai Ka Koi Sawal Hi Paida Nahi Hota
Hazrat Agar Yahan Par Main Bhi Galat Hun To Meri Bhi Isla Farmayiye

Magar Hazrat Uppar Ka Jo Sawal Hai Wo Zaid Ka Hai
Jawab Inayat Farmayiye Ilm Me Izafa Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zaid Ke Liye Yahi Hukm Tha Ki Vo 30 Ki Ginti Puri Karta Or Ba'adahu Eid Manata, Or Rahi Do Gair Muslimo Ke Khabar Dene Ki To Ye Qaaida Yaad Rakha Jaye Ki Deeni Mu'amlaat Me Gair Muslim Ki Khabar Ka Koi Eitebar Nahi.

Kafir Shahadat Ka Ahal Hi Nahi Rahi Baat Khabar Ki To Dayanat Me Mukhbir (Khabar Dene Walee Ka) Aadil Hona Zaroori He, Or Kafir Hargiz Hargiz Aadil Nahi Ho Sakta.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Dayanat Me Mukhbir Ka Aadil Hona Zaroori He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Bayan Khabar Kahañ Mo'atebar He)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabr Ki Mitti Khana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mera Sawal Hai Hazrat
 Mera Ek Dost Hai Jinke Walid Ka Abhi Haal Hi Me Inteqal Ho Gaya
To Mera Dost Walid Ke Gum Me Hi Raheta Hai Tabiyat Bhi Kharab Hoti Raheti Hai
To Kisi Ne Kaha Hai Ke Unke Kabr Ki Mitti Laa Kar Paani Mi Ghol Kar Pilaya Jaaye Isse Yaade Aur Gum Kaam Hote Hai
Kya Ye Baat Sahi Hai Hazrat Jawab Inayat Faramaye ....
JazakALLAH

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mitti Nahi Kha Sakte Ki Ye Makrooh He, Aulma E Kiram Ne Aam Halat Me Mitti Khane Ko Makrooh Or Haram Farmaya He, Hargiz Hargiz Aap Mitti Nahi Kha Sakte, Uske Sukoon Ke Liye Ye Kare Ki Ye Janab Walida Mohtarma Ki Qabr Par Jaye, Fatiha Duroodo Salam Or Wirdo Wazaif Me Mubtala Rahe, Unko Isale Sawab Kare, InshaAllah Zaroor Biz Zaroor Unko Sukoon Mil Jayega, Or Sabr Se Kaam Le Ki Tamam Cheeze Allah Tabarak W Ta'ala Hi Ki He Or Usi Ki Taraf Hame Lot Kar Jana He, Yahi Hukm Allah Tabarak W Ta'ala Ne Bhi Qura'ane Paak Me Irshad Farmaya He,

Lihaza Mitti Khana Makrooh He, Jaisa Ki Fatawa Hindiya Me He,
الطین الذی یحمل من مکہ ویسمی طین حمرہ ہل الکراہیہ فیہ کاالکراہیة فی أکل الطین علی ما جاء فی الحدیث؟ قال: الکراہیة فی الجمبع متحدة۔ وسئل بعض الفقہاء عن أکل الطین البخاری ونحوہ قال: لابأس بذلک مالم یضرہ، وکراہیة أکلہ لا للحرمة بل لتہییج الداء ․․․․ وسئل ابوالقاسم عمن أکل الطین قال: لیس ذلک من عمل العقلاء الخ
*📚(ہندیہ: ۵/۳۹۴، کتاب )*

Or Baaz Mubarak Mittiyo Ka Hukm Alag He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Social Distance Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Corona Bimari Ki Wajah Se Social Distance Yaani Logo Ko Jismani Fasla Banaye Rakhne Ke Liye Kaha Gaya He To Kya Jama'at Se Namaz Padhte Waqt Thoda Fasla Rakhna Jaiz Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jama'at Me Social Distance Ke Naam Par Ek Dusre Se Thoda Thoda Door Khada Rahna Sakht Gunah He Ki Inqeta e Saf Lazim Aayega Or Aysi Namaz Makroohe Tahrimi Wajibul Ae'aada Hogi. Hadeese Paak Me Jo Saf Ko Milayega Allah Ta'ala Use Milayega Or Jo Saf Ko Todega Allah Ta'ala Use Kaat Kar Rakh Dega, Afsos Ke Apne Gharo Me To Ye Sab Heele Bhula Diye Jate He Or Allah Ke Ghar Me Ayse Heele Mahaz Ek Wahmi Cheez Ki Bina Par Ikhtiyar Kiye Jate He. Allah Ta'ala Musalmano Ke Iman Ko Mazboot Farmaye.

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬 Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khwab Me Khana Khate Dekhne Ki Tabeer

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslsmu alaikum hazrat mai aksar raton me khawab me khana khate rahne ka sapna dekhta hoon iski kya haqiqat hai mujhe kya karna chahiye jawab inayat farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khwab Me Khana Khate Dekhe To Gabhrane Ki Zaroorat Nahi.

Huzur Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Farmate He,
Khwab Me Khana Khate Dekhna Ne'amat Me Izafa Ki Daleel He.
*📚(Khwabo Ki Ta'abeer, S-122)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zinda Shakhs Ko Quran Bakhshna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم حضرت...

Hazrat ki bargah me sawal hai. Kya kisi ke name ka quran sharif padh sakte hai..
Wo shaks abhi hayat hai
Jo shaks hayat ho uske name ka quran sharif padh sakte hai ya nahi

Jawab irsal farmaye hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Haañ Apne Tamam Aamal Namaz W Roza Haj W Zakat Wagairah Har Qism Ki Nekiyo Ka Sawab Zinda Or Murda Dono Ka Bakhshna Jaiz He.

Jaisa Ki *📚Fatawa Aalamgiri, J-1, Misri, Safa-240* Me He,
ان الانسان لہ ان یجعل ثواب عملہ لغیرہ صلاۃ کان اوصوماان صدقتہ اوغیرھاکالحج وقرأۃ القرآن والاذکاروزیارۃ قبور والانبیاء علیھم الصلاۃ والسلام والشہداء والاولیاء والصالحین وتکفین الموتیٰ وجمیع انوارالبر
Yaani Apne Amal Namaz Roza Haj Zakaat Qira'ate Qura'an W Azkaar Ambiya Aalaihimus Salam Shohda E Islam Awliya E Kiram Buzurgane Deen Ki Qabro Ki Ziyarat Ka Sawab Or Murdo Ki Tahjizo Takfeen Wagairah Har Qism Ki Nekiyo Ka Sawab Dusre Ko Bakhshna Jaiz He.

Or *📚Bahrur Raaiq Jild-3, Safa-59* Me He,
لا فرق بین ان یکون المجعول لہ میتا او حیا
Yaani Murda Or Zinda Ko Sawab Bakhshne Me Koi Farq Nahi.
*📚(Fatawa Barkatiya, S-267)*
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-678)*

Or Dusri Jagah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,
(Zinda Ko Apne Liye) Sawab Paane Ke Liye Qura'an Khwani Or Milad Shareef Karna Jaiz He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-688)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurto Ko Huzur ﷺ Ke Roze Ki hazri Kyu Jaiz Or Mazar Par Kyu Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu

Sawal. Auraton Ko Mazar Pe Jana Mana Hai Par Aoraton Ka Nabi E Pak Sallahu Alaihi Wasallam Ke Roze Aqdas Pe Kyu Ja Sakti Hai  Jawab Inayat Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ki Malfoozat Me He,

(Aurto Ko) Siwa E Roza E Anwar Ke Kisi Mazar Par Jane Ki Ijazat Nahi. Wahañ Ki Hazri Albatta Sunnate Jaleela Azeema Qareeb Ba-wajibaat He Or Qura'ane Azeem Ne Ise Magfirat Ka Zariya Bataya.
وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوا أَنفُسَهُمْ جَاءُوكَ فَاسْتَغْفَرُوا اللَّهَ وَاسْتَغْفَرَ لَهُمُ الرَّسُولُ لَوَجَدُوا اللَّهَ تَوَّابًا رَّحِيمًا
*📚(Surah Nisa, Aayat-64)*
Or Agar Vo Jab Apni Jaano Par Zulm Kare Tumhare Huzur Hazir Ho Fir Allah Se Muaafi Chahe Or Rasool Unke Liye Muaafi Maange To Zaroor Allah Ko Taubah Qubool Karne Wala Maherban Payenge.

Khud Hadees Me Irshad Huva,
مَنْ زَارَ قَبْرِي وَجَبَتْ لَهُ شَفَاعَتِي
Jo Mere Mazare Kareem Ki Ziyarat Ko Hazir Huva Uske Liye Meri Shafa'at Wajib Ho Gai,

Dusri Hadees Me He,
من حج البيت ولم يزرني فقد جفاني
Jis Ne Haj Kiya Or Meri Ziyarat Ko Na Aaya Be Shak Usne Mujh Par Jafaa Ki Ek To Ye Ada E Wajib Dusri Quboole Taubah, Tisre Daulate Shafa'at Hasil Hona Chote Sarkar Ke Sath Ma'azAllah Jafa Se Bachna Ye Azeem Aham Umoor Ayse He Jinhone Sab Sarkari Gulamo Or Sarkari Kaneezo Par Khak Bosi Aastane Arsh Nishan Lazim Kardi, Bakhilaf Digar Quboor W Mazarat Ke Wahañ Aysi Takeede Mafqood Or Ehtemale Mufsida Maujud Agar Azeezo Ki Qabre He To Be Sabri Karegi, Auliya Ke Mazar He To Mohtamal Ki Be Tamizi Se Be-adbi Karegi Ya Jahalat Se Ta'azeem Me Ifraat Jaisa Ki Ma'aloom W Mushahida He Lihaza Unke Liye Tariqa E Aslam Ehteraz He.
*📚(Malfoozate Aala Hazrat, S-240,241)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dunya Ka Sabse Bahetareen Sanitizer wuzu he kahna kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
DUNYA  KA  SAB  SE  BEHTARIN  SENITIZER  WUZU  HE..

Is Tarah Ka Jumla Kehna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bazahir Koi Harj Maloom Nahi Hota. Haañ Shubah Is Wajah Se Ho Sakta He Ki Senitizer Me Alcohol Hota He, Or Wuzu Ek Ibadat Or Rab Tabarak W Ta'ala Ki Taraf Se Ek Paakiza Cheez He, Us Cheez Ko Alcohol Jesi Dawa Se Tashbeeh Di Gai He, To Ye Yaad Rakhiye Ki Us Dawa Se Uski Mushabehat Nahi He Balki Senitizer Me Jo Hath Wagairah Saaf Kiye Jate He, Achche Se Dhoye Jate He, To Iski Tashbeeh Ko Wuzu Se Mushabehat He Ki Wuzu Me Bhi Hath Wagairah Achche Se Dhoye Jate He To Yaqinan Agar Musalman Senitizer Istemal Na Bhi Kare Or Pancho Waqt Namaz Ba Jama'at Ada Kare To Usme Wuzu Bhi Aa Jata He, Or Wuzu Me Achche Se Hath Bhi Dhoye Jate He Muh Bhi Dhoya Jata He, Pair Bhi Dhoye Jate He, Sar Ka Masah Bhi Kiya Jata He, To Jab Hath Or Pair Ke Gunah Jad Jate He To Yaqeenan Corona Virus Ke Jarasim Bhi Usse Jad Jayege, To Bazahir Aysa Kahne Me Koi Harj Maloom Nahi Hota.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Washing machin Me Kapde Paak Karne Ka Tariqa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Kya Washing Machine Me Dhule Huve Kapde Pehan Kar Namaz Hoti Ya Nahi..Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Bahetar Ye He Jin Kapdo Par Jahañ Najasat Lagi Ho Use Pahle Bahar Hi Door Karle, Baad Me Dusre Kapdo Me Mila Le. Or Ye Bhi Zaroori He Ki Paak Or Napak Kapdo Ko Alag Alag Dhoye.

Or Agar Paak W Napak Kapde Ek Sath Mila Diya To Washing Machin Me Kapde Paak Karne Ka Ek Ye Tariqa Bhi He Ki, Agar Machin Me Is Tarah Ki System He Ki Kapdo Ko Suka Deti He, To Is Tarah Kiya Jaye Ki Pahle Kapdo Ko Washing Machin Me Dhoya Jaay Ki Saabun Ya Mel Wagairah Nikal Jaaye, Fir Kapdo Ko Suka Kiya Jaye Is Tarah Ki Ek Bhi Qatra Baaki Na Rahe, Fir Vo Pura Paani Badal Kar Dusre Paani Me Wapas Dhoya Jaye Or Fir Se Is Tarah Suka Kiya Jaye Ki Ek Bhi Qatra Na Rahe Aysa 3 Baar Karne Se Kapda Paak Ho Jayega.

Isi Tarah Ek Aasan Tariqa Jahañ Abhi Zyadatar Washing Machin Me Niche Pipe Se Paani Nikal Ne Ki System Hoti He Is Ke Istemal  Se Bhi Kapda Paak Ho Jayega

Jaisa Ki Fatawa Alimiya Me He,
Kapdo Ko Dhone Ke Baad Machine Me Lage Niche Ka Pipe Khol De Fir Der Tak Upar Se Paani Bahta Rahe Or Machine Chalti Rahe, Yahañ Tak Ki Guman Galib Ho Jaye Ki Najasat Door Ho Gai.
*📚(Fatawa Alimiya, J-1, S-97)*
Is Tarah Washing Machin Me Kapda Dhone Se Vo Paak Ho Jayega Or Usme Namaz Padhna Bhi Jaiz He.

Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Ka Farman He,

Http://jamiaturraza.com/session/19April09/19.mp3

Http://jamiaturraza.com/session/28Mar10/59.mp3
Wallahu Ta'aala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Quraan Ki Tafseer Ke Hawale Ze Sabse Zyada Kis Sahabi Ki Riwayat He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Quraan Ki Tafseer Ke Hawale Ze Sabse Zyada Kis Sahabi Ki Riwayat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Tafseere Qura'an Me Sabse Zyada Marwiyaat Saiyedna w Ibne Saiyedna Hazrat Abdullah Bin Abbas  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہما Se Hai,

Jaisa Ki Muqaddama Jalalain Me Ustaze Mukrram Hazrat Allama Mufti Nazim Ali Misbahi Khalifa E Tajushshariya W Ustazul Jameaa Ashrafiya Mubarak Pur Farmate He,
قد ورد عنه في التفسير ما لا يحصى كثرته
Tafsire Qura'an Me Aap Se Jis Qadar Aqwal Marwi He Un Ki Kasrat Shumar Nahi Ki Jaa Sakti.

Or Ye Baat Mufassireene Sahab Me Sirf Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہما Ke Ta'alluq Hi Farmai Jis Me Saaf Zahir Ki Aap Hi Se Zyada Aqwal Marwi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Azan Dene Ka Sabse Pahle Kisne Kaha

*🌹SAWAL:-🌹*
Logo Ko Namaz Ke Kiye Bulane Ke Kiye Azan Di Jaaye Ye Sabse Pahle Kisne Kaha ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Waise To Azan Ka Tariqa Mashrooaah Allah ﷻ Ki Taraf Hi Se Tha Lekin Allah Ne Huzur  ﷺ Or Bahut Se Sahaba Ko Khwab Me Janab Jibrail عَلَیْہِ السَّلَام Ke Zariya Azan Ka Tariqa Bataya Jis Ka Zikr Allah Ke Rasool  ﷺ Ki Bargah Me Sab Se Pahle Abdulla Bin Zaid Sahabi E Rasool Ne Bayan Kiya. Fir Unke Baad Or Bhi Bahut Se Sahaba Ne Aakar Aysa Hi Khwab Bayan Kiya.
Tafsil Ke Liye *📚Fatawa Razviya, Jild-1* Dekhe..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chhipkali Marna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum, Chipkali Maar Sakte Hain Kya Jo Hamare Ghar Me Hoti Hai.

*🌹JAWAB:-🌹*
Sahih Bukhari W Muslim Me Umme Shareek RadiAllahu Anha Se Marwi Ki RasoolAllah ﷺ Ne Wizg (Chhipkali Or Girgit)* Ke Qatl Ka Hukm Diya Or Farmaya Ki 'ibrahim Alahis Salam Ke Liye Kafiro Ne Jo Aag Jalaai Thi Use Ye Phunkta Tha.
*📚(Sahih Bukhari, Hadees-3359, J-2, S-423)*

Or Sahih Muslim Me Sa'ad Bin Abi Waqaas RadiAllahu Anhu Se Jo Riwayat He Us Me Ye Bhi He Ki Uska Naam Huzur  ﷺ Ne فویسق Rakha.
*📚(Sahih Muslim, Baab Istehbaabe Qatle Wizg Hadees-144 (2238), S-1230)*
Yaani Chhota Fasiq Ya Bada  Fasiq Is Lafz Me Dono Ma'ana Ka Ehtemal He.

Sahih Muslim Me Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marwi Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Jo Chhipkali Ya Girgit Ko Pahli Zarb Me Maare Uske Liye 100 Nekiya Or Dusri Me Usse Kam Or Tisri Me Usse Bhi Kam.
*📚(Sahih Muslim, Baab Istehbaabe Qatle Wizg Hadees-147 (2240), S-1230)*

*📚Ba-Hawala: Bahare Shariyat Application, J-15, S-136, 137)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Witr Ki Namaz Ke Baad Dusri Koi Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Vitr Ki Namaaz Ke Baad Raat Me Koi Aor Namaaz Nahi Padh Sakte Maslan Salatut Tasbih Ki Namaz Ya Nawafil Ya Tahazzud Ki Namaaz Nahi Padh Sakte Jawab Hawale Se De

*🌹JAWAB:-🌹*
Namaze Isha Se Pahle Sina Ir Baad Namaze Isha Dunya Ki Baate Karna, Qisse Kahani Kahna Sunna Makrooh He, Zaroori Baate Or Tilawate Qura'an Majeed Or Zikr Or Deeni Masail Or Saleheen Ke Qisse Or Mahman Se Baag Cheez Karne Me Harj Nahi, Yuñ Hi Tulu'a Fajr Se Tulu'a Aaftab Tak Zikre Ilahi Ke Siwa Har Baat Makrooh He.
*📚(Durre Mukhtar, Raddul Muhtar)*

Lihaza Witr Ke Baad Nawafil Padhna Salato Tasbeeh Padhna Ya Digar Awrado Wazaif Karna Zikre Ilahi Karna Sab Jaiz W Durust He Balki Bahut Achchi Baat He.

Rahi Baat Tahajjud Ki To Huzur SadrushShariyah Farmate He Tahajjud Ke Liye Sona Shart He To Jo Shakhs Jagne Par Aetemad Rakhta Ho Usko Aakhir Raat Me Witr Padhna Mustahab He, Warna Sone Se Qabl Padhle, Fir Agar Pichhle Ko Aankh Khuli To Tahajjud Padhe Witr Ka Ae'aada Jaiz Nahi.
*📚(Durre Mukhtar W Raddul Muhtar)*
*📚Hawala:(Bahare Shariyat, H-3)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Wahabi Ko Isale Sawab Karna Ya Magfirat Ki Duaa Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Wahabi Ko Esaale Sawab Karna Kaisa H
Hawale Ke Sath Jawab Enayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Apne Kufriya Aqaid Ki Bina Par Kafiro Murtad He, Or Kafir Ke Liye Isale Sawab Karna Ya Magfirat Ki Duaa Karna Najaizo Haram He, Balki Unke Kufriya Aqaid Jante Huye Unhe Musalman Taslim Karte Huye Isale Sawab Ya Dua E Magfirat Karna Kufr He.

Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Farmate He,

Or Kafir Ke Kiye Magfirat Ki Duaa Karna Jaiz Nahi, Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Fatawa Aalam Giri Ke Hawale Se Tahrir Farmate He,
Kafir Ke Liye Magfirat Ki Duaa Hargiz Hargiz Na Kare.
*📚(Bahare Shariyat, J-16, S-257)*

Lihaza Wahabiyo Ke Liye Magfirat Ki Duaa Karna Haram Or Musalman Samajh Kar Duaa Karna Kufr He. Or Unhe Isale Sawab Karna Bhi Kufr He.

Saiyadna Aala Hazrat Alaihir Rahma Tehriri Farmate He,
Qabre Kafir Ki Ziyarat Haram Or Esale Sawab Ka Qasd Kufr.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-208)*

Lihaza Aysa Shakhs Sakht Gunahgar Mubtala E Qahare Qahhar Or Mustahiqe Azabe Naar He. Uski Iqteda Me Namaz Durust Nahi In Af'aal Me Mulawwis Hone Ke Baad Jitni Namaze Uske Pichhe Padhi Gai Unka Dobara Padhna Zaroori He.

Lihaza Us Par Lazim He Ki Taubah, Tajdide Iman Kare Or Agar Shadi Shuda Ho To Tajdide Nikah Bhi Kare.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-18)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bandar Paani Me Muh Daalde To Us Paani Se Wuzu Ya Gusl Karna

*🌹SAWAL:-🌹*
Bandar Ne Pani Me Muh Dal Ke Pani Piya To Us Pani Se Wuzu O Gusl Jaiz Hai Ya Nahi??

*🌹JAWAB:-🌹*
Bandar Ka Jhutha Napak He, Isliye Ki Vo Darinde Janwaro Me Se He , Jis Tarah Or Jamwaro Ka Luaab, Jhutha Or Gosht Napak He Isi Tarah Bandar Ka Hukm He, Agar Bandar Ne Baalti Taanki Wagairah Me Muh Daal Diya To Vo Paani Napak Ho Gaya, Us Paani Se Wuzu Ya Gusl Jaiz Nahi.

Jaisa Ki Jannati Zewar Me He,
Jin Janwaro Ka Gosht Nahi Khaya Jata Jaise Suwwar, Kutta, Sher, Cheeta Bhedya Gidad Hathi Bandar Or Tamam Shikari Chopaye In Sabhi Ka Jhutha  Napak He.
*📚(Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtar J-1, S-425)*
*📚(Jannati Zewar, S-192)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Huzur ﷺ Eidain Me Konsi Surah Padhte The

*🌹SAWAL:-🌹*
Sarkare Do Aalam Eid Ki Namaz Me Kaunsi Surat Tilawat Farmate ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Rasoole Akram  ﷺ Namaze Jumuah W Eidain Me Pahli Raka'at Me Surah Aala Or Dusri Me Surah Gasiyah Tilawat Farmate.

Jaisa Ki Muslim Me Hazrat No'aman Bin Basheer Se He,
عنِ النُّعمانِ بنِ بَشيرٍ رَضِيَ اللهُ عنهما، قال: ((كان النبيُّ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم يقرأُ في العيدينِ وفي الجُمُعةِ: بـسَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى، وهَلْ أَتَاكَ حَدِيثُ الغَاشِيَةِ۔

Or Ba'az Riwayat Me He Ki Huzur  ﷺ Eidain Ki Pahli Me Surah Qaaf Tilawat Farmate Or Dusri Me Surah Qamar Jaisa Ki Muslim Shareef Me Abu Waqidul Laysee Se Riwayat He.

Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma *📚Bahare Shariyat, Hissa-4, Bayan Eidain* Me Farmate He Ki,

Eidain Me Mustahab Ye He Ki Pahli Me Surah Jumuah Or Dusri E Surah Munafiqoon Padhe Ya Pahli Me سَبِّحِ اسْمَ  (surah Aala) Or Dusri Me هَلْ اَتٰىكَ  (surah Gasiya).
*📚(Durre Mukhtar Wagairah)*

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ye Kaam Kardo Uska Gunah Mere Zimme Kahne Wale Par Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

Hazrat Kuch Log Aise Jumla Istemaal Kr Dete H K "fulah Fulah Kaam Krdo Iska Gunah Mere Zimme"
To Aisa Kehne Wale Par Kya Hukm Hoga Aur Jo Shakhs Wo Fulah Kam Kar Deta H To Uska Gunah Kis Par Hoga. ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jo Shakhs Ye Kahta He Ki Tum Fulañ Kaam Kardo Or Iska Gunah Mere Zimme Me He, Vo Allah Tabarak W Ta'ala Ke Qahro Gazab Ko Aawaz De Raha He, Khuda Ke Yaha Koi Kisi Ka Bojh Nahi Uthayega.

Qura'ane Majeed Me Irshad Farmaya He,
وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَىٰ
Or Koi Bojh Uthane Wali Jaan Dusre Ka Bojh Na Uthayegi.
*📚(Surah An'aam, Aayat-164)*

Lihaza Ye Kahna Sarasar Najaizo Haram He, Balki Agar Aiteqad Allah Ta'ala Ke Azab Ke Azab Halka Samajhna Ho To Fir Ye Kufr He, Aysi Soorat Me Tajdide Iman Or Tajdide Bay'at Or Tajdide Nikah Bhi Karna Padega, Ayse Jumlo Se Bachna Chahiye, Koi Kisi Ka Bojh Nahi Utha Sakta.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬 Idara Sharaiyah w Samaji Khidmaat_*
*_🕌Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodra, Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ka Halate Haiz Me Fatiha Khwani, Mahefile Milad Wagairah Me Shirkat Karna

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Ek Behen Ka Sawal Ye Hai Jab Ladies Ko Period Hoto Hai To Kya Fateha Khawani Mein Shamil Ho Sakti Hai Aur Kya Wo Ayat.e.karima Ka Zikr Kar Sakti Hai???
Jawab Jaldi Se Inayat Farmei Tafsil Ke Sath

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Khatoon Ko Mahavari (Period) Shuru Ho Jaye Aysi Halat Me Uske Upar Namaz Padhna Haram He, Qura'an Padhna Bhi Haram He, Lekin Qura'an Ki Vo Aayate Jo Uske Wirdo Wazife Me He Usko Bataure Wirdo Wazifa Padh Sakti He, Qura'an Ki Tilawate Ki Niyyat Se Nahi Padh Sakti He, Lekin Wazife Ki Niyyat Se Padh Sakti He.

Lihaza Aayate Kareema Jo Padhi Jayegi Vo Wazife Ke Taur Par Padh Jayegi, Tilawate Qura'an Ki Niyyat Se Nahi Padhi Jayegi, Lihaza Us Me Shirkat Kar Sakti He, Mahefile Milad Me Shirkat Kar Sakti He, Fatiha Ki Mahefile Me Shirkat Kar Sakti He, Sirf Ye Ki Qura'an Ko Padh Nahi Sakti, Or Namaz Bhi Uske Upar In Dino Me Muaaf He, Lihaza Namaz Bhi Nahi Padh Sakti He, Baaki Sare Kaam Kar Sakti He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah w Samaji Khidmaat_*
*_🕌Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodra, Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khate Waqt Baat Karna Or Salam Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Hazrat Hum Bachpan Se Sunte Hue Aa Rhe H K Khana Khate Waqt Baat Nhi Krte Aur Iski K Sath Khate Waqt Salam Nhi Krte Aur Uska Jawab Nhi Dete.

Aur Agr Khana Khate Waqt Kisi Ka Phone Aa Bhi Jaae To Use السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ اللهِ Nhi Bolte Balki "khane Ko Aao" Aisa Kehte H.

To Aisa Amal Krne Pr Kya Hukm Hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khane Ke Waqt Baate Karta Jaaye, Bilkul Chup Rahna Majoosiyo Ka Tariqa He, Magar Behooda Baate Na Bake Balki Achchi Baate Kare.

Khana Khate Waqt Jab Koi Aa Jata He To Hindustan Ka Urf Ye He Ki Use Khane Ko Puchhte He, Kahte He Aao Khana Khao, Agar Na Puchhe To Ta'an Kart He Ki Unhone Puchha Tak Nahi, Ye Baat Yaani Dusre Musalman Ko Khane Ke Liye Bulana Achchi Baat He, Magar Bulane Wale Ko Ye Chahiye Ki Ye Puchhna Mahaz Numaish Ke Liye Na Ho Balki Dil Se Puchhe.

Or Ahadise Shareefa Me Aaya

Tirmizi Ne Jabir RadiAllahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Salam Ko Kalam Se Pahle Hona Chahiye Or Kisi Ko Khane Ke Liye Na Bulao Jab Tak  Vo Salam Na Karle.

Ibne Najar Ne Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Sawal Se Pahle Salam He, Jo Shakhs Salam Se Pahle Sawal Kare, Use Jawab Na Do

Tirmizi Ne Jabir RadiAllahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Ke, Salam Baat Cheet Karne Se Pahle He.

Albattah,

Aala hazrat imam e Ahle sunnat farmate hen

Jo khana kha raha ho use salam na kare
*📚(Fatawa Razviya, J-22, S-114)*

Log Khana Kha rahe hai to us waqt salam na kare haañ agar bhuka he or janta ho ki use vo log khane me shareek kar lege to saoam karle.
Ye us waqt he ki khane wale ke munh me luqma he or vo chaba raha he ki us waqt jawab dene se aajiz he, or agar abhi khane ke liye betha hi he ya kha chuka he to salam kar sakta he ki ab vo aajiz nahi.
*📚(Islamic Akhlaqo Aadab, Salam Ka Bayan, S-114)*

Lihaza Agar Koi Khana Kha raha ho or luqma muh me ho to use salam na kiya jaaye ki  vo us waqt aajiz he, or agar luqma muh me nahi to salam kar sakte he. Magar jo sawal me soorat bayan ki gai ki salam nahi karte balki 'aao khane ke liye' pukarte he to isme bahetar yahi he ki pahle salam kare, or bahetar he aane wala pahle salam kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namazi Ke Aage rakhe Sutra Ki Size Kitni

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat ek bhai ne sawal kiya hai ke agar  wo kahi khule me namaz padh  rahe hai to namazi apne age kitni unchi kath ya koi bhi saman rakh ke namaz ada kare ke log unke aage se gujar sake

*🌹JAWAB:-🌹*
Sutra Baqadre Ek Hath Uncha Or Ungli Barabar Mota Or Zyada Se Zyada Teen Hath Uncha Ho.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-183)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jumuah Ka Nafl Roza Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Jumma Ka Nafil Roza Rakh Sakte Hai Ya Nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sirf Jumuah Ka Roza Rakhna Bahetar Nahi Magar Najaizo Gunah Bhi Nahi Balki Makroohe Tanzihi He. Is Liye Bahetar He Ki Sirf Jumuah Ke Din Roza Na Rakhe Usse Pahle Jume'arat Ya Jumuah Ke Baad Sanichar Ke Din Bhi 1 Roza Rakhe..

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Ki Nabi E Akram  ﷺ Ne Farmaya Ki Jumuah Ke Din Koi Roza Na Rakhe Magar Is Soorat Me Ki Uske Pahle Ya Baad Ek Din Or Roza Rakhe.
*📚(Miraat Sharah Mishkat, J-3, S-186)*

 Or Ibne Khuzaima Ki Riwayat He,
Jumuah Ka Din Eid He, Lihaza Eid Ke Din Ko Roza Ka Din Na Karo, Magar Ye Ki Uske Qabl Ya Baad Roza Rakho.
*📚(Sahih Muslim, Kitabus Siyaam, Safha-576, Hadees-1144)*

*📚(Bahare Shariyat, J-5, S-149)*

Agar Kisi Khusoos Tarikh Ko Jumuah Ya Hafta Aa Gaya To Karahat Nahi. Masalan 15 Shabanul Mu'azzam , 27 Rajabul Murajjab Wagairah..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Jumuah Ke Din Roza Ke Liye Khas Na Karo, Haañ Koi Kisi Qism Ka Roza Rakhta Tha Or Jumuah Ka Din Roza Me Waqe'a Ho Gaya To Harj Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-149)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tahajjud Ke Liye Sona Shart He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum
Kya bina soye(sleep) tahajud ki namaz padh saktey hai kabhi kabhi aisa hota hai neend nahi lagti to hum phone me rehte hai kya is halat mein hum tahajud padh saktey hai???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tahajjud Ke Liye Raat Me Sona Shart He,

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Isha Ke Baad Raat Me So Kar Uthe Or Nawaafil Padhe, Sone Se Qabl Jo Kuchh Padhe Vo Tahajjud Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-27)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Jaadu Se Kisi Ki Maut Ho Sakti He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Social Media Par Ek Post Gum Rahi He, Jisme He Ki Pichhle Saal Jo Aulma E Kiram Ki Maut Hui Vo Illuminati (ilme Naatika) Yaani Jaadu Ki Wajah Se Hui. Iski Kya Haqiqat He.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zindagi Or Maut Ka Malik Haqiqtan Khuda E Taala Hi Hai .. Bimari, Hadsa, Jadu Vagairah Asbab Hai .. Masage Me Jo Bate Darj Hai In Ka Koi Subut Nahi.

Jaisa Ki Qura'an Majeed Me He,
 وَاللَّهُ يُحْيِي وَيُمِيتُ
Or Allah Jilata Or Marta He.
*📚(Surah Aale Imran, Aayat-156)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Film Ya Mobile Dekhna Dikhana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Zaid Filme Dekhta Hai. Aur O Uske  Doston Ko B Dekhne K Liye Forward Karta Hai. To Zaid Par Kya Hukm Hai.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mobile Par Najaiz Video Or Film Dekhna Haram, Haram, Ashad Haram He, Usi Tarah Tv Ya Cinema Hall Me Jaa Kar Filme Dekhna Bhi Haram Or Najaizo Gunah He.

Qura'ane Kareem Ka Saaf Ailan He,
وَلَا تَقْرَبُوا الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ ۖ
Or Be Hayai Ke Paas Na Jaao Unme Khuli He Or Jo Chhupi.
*📚(Surah An'aam, Aayat-151)*

Najaiz Video Or Film Ka Fawahish W Munkirat Me Se Hona, Bilkul Zahir He Ki Ek Ba-Sha'oor Bachcha Bhi Use Janta He Or Uski Fahashi Ka Aiteraf Karta He, Qura'an Ka Hukm He Ki Fawahish Ke Qareeb Bhi Na Jaao, Or Video Filme Fawahish Ka Ek Majmuaa He, Jis Se Digar Fawahisho Munkirat Or Be Shumaar Akhlaqi Buraiyañ Janam Leti He. Lihaza Is Ki Hurmat W Mumane'at Par Mazeed Daleel Pesh Karne Ki Zaroorat Nahi.

Filme مفضی الی الزنا He. Or Jis Tarah Zana Ya Dawai Zana (bos W Kinaar, Khalwat Wagairah) Haram W Najaiz He, Usi Tarah Filme Dekhna Bhi Najaiz He. Khwañ Mobile Par Filme Dekhi Jaye Ya Tv Wagairah Par.

Fatawa Shami Me He,
وما کان سببا لمحظور فھو محظور
Tarjma: Jo Cheez Kisi Burai Ko Wajood Me Laane Ka Sabab Ban Jaye, Vo Cheez Khud Buri Or Mamnoo'a He.
*📚(Mobile Phone Ke Zarooei Masail, Safha-105)*

Lihaza Apne Phone Me Film Dekhna Haram Asad Haram Or Dusro Ko Bhi Haram Kaam Ki Targeeb Dena Isse Bhi Sakht Haram Badkaam Bad Anjaam, Azabe Ilahi Ka Haqdar He, Zaid Ko Chahiye Ki Is Tarah Ke Fe'al Se Sachi Taubah Kare Or Aainda Na Karne Ka Ahad Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qaza Namaz Ka Tariqa

_QAZA-E UMRI NAMAAZ KA AASAAN TAREEQA_
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

_Qaza har din ki Namaaz ki sirf 20 Rak'at ki hoti hai, 2 Fajr ke Farz, 4 Zohr ke, 4 Asr ke, 3 Maghrib ke, 4 Isha ke, aur 3 Witr._

_Apni maujuda umr me se baaligh hone ki umr kam karke hisaab kare._

_Ladka 12 se 15 aur ladki 9 se 12 ke bich kabhi bhi baaligh ho sakte hain, pahla ehtelaam, pahla haiz, ya pahla haml, ya ladke ki sohbat se pahli baar kisi ladki ka haamila ho jaana baaligh hone ki pehchaan hain. Inme se kuchh na ho to ladka 15 ke ba'd aur ladki 12 ke ba'd Shari'at me baaligh maane jaate hain ya'ni unpar Namaaz Roza waghaira Islaam ahkaam laagu ho jaate hain._

 _Namaaz, Roza ya Zakaat ki umri qaza ke mas-ale me nichli hadd (ladke keliye 12 aur ladki keliye 9 saal) maankar hisaab kare._

_Qaza Namaaz jitni ziyada har din parh sake utna behtar hai, masalan: 10 din ki rozaana parhe, ya 8 din ki ya 7 din ki, ya is se kam ya ziyada, chaahe ek waqt me parhe ya alag waqto me._

_Har baar niyat istarah kare: Sabse pahli Fajr (ya kisi aur waqt) ki Namaaz jo mujhse qaza huwi, jab ek parh li phir isi tarah niyat kare, ya'ni ab jo baaqiyo me pahli hai, aakhir tak parhe ke ab qaza baaqi reh jaane ka khayaal na rahe._

_5 waqt ki ada Namaazo ke Nafl aur ghair muakkada Sunnato (Asr aur Isha ke farzo se pahle waali) ki jagah bhi Qaza Namaazein parhe._

_Jispar Qaza Namaazein bahut ziyada hain wo agar chaahe to aasaani keliye istarah kare:_

_1. Har Ruku aur Sajde me tasbeeh 3 baar ki jagah sirf ek ek baar kahe. Magar ye hamesha aur har tarah ki Namaaz me yaad rakhna chahiye ke jab Ruku me purey pahunch jaye tab Tasbeeh ka S.... shuru kare aur jab Tasbeeh ka M.... khatm kare us waqt Ruku se sir uthaaye, isi tarah Sajdo me pura pahunch jaaye tab Tasbeeh shuru kare aur jab Tasbeeh puri khatm kar le us waqt Sajde se sir uthaaye._

_2.. Farzo ki 3sri aur 4thi Rak'at me (agar chaahe to) Surat Faatiha ki jagah sirf 3 baar_
*سبحان الله*
_keh le, magar yahaan bhi wohi khayaal zarur rakhe ke sidhe khade hokar S.... shuru kare aur khade khade pura kehkar tab Ruku me jaaye. Ye chhoot sirf Farzo keliye hai, Witro ki har Rak'at me Surat Fatiha aur Surat ya Aayat milaana 2no zarur parhi jayengi._

_3. Aakhiri Rak'at ki Attahiyyaat ke sirf_
*اللهم صل على محمد وآله*
_kehkar salaam pher dein._

_4. Witro ki 3sri Rak'at me du'a-e Qunoot ki jagah Allaahu Akbar kehkar sirf 1 baar ya 3 baar_
*رب اغفر لي*
_Ruku me chale jaye_.

_Jo shakhs apne zaruri kaamo se ziyada se ziyada waqt nikaalkar chhuti huwi Namaazo ko ada karne ki bharupr koshish kare aur ada karne se pahle zindagi khatm ho jaye to Allaah se ummid hai ke muaf farmaayega._
📖 _Fataawa Razwiya: 8/157 se 163 ka khulaasa._

Namaz Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Milane ki Tarteeb ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Namaz Me Sureh Fatiha Ke Saath Jo Sureh Milae Jaati Hai Uska Sequence Kya Hona Chaahiye Kuch Log Pichhe Se Aage Vali Padhte Hai Sahih Tariqa Inayat Farmae.
JazakAllah Khair.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz Me Surah Fatiha Ke Baad Jo Soorte Padhi Jaati He Vo Khilafe Tarteeb Nahi Honi Chahiye Yaani Qura'an Shareef Me Jis Tarteeb Se Soorte Likhi Hui He Usi Ke Mutabik Ho.

Misaal Ke Taur Par Agar Chhoti Chhoti Soorte 30ve Paare Me Se Padhte He To Pahli Raka'at Me surah Feel Padhe, Dusri Raka'at Me Surah Quraish Padhe, Is Tariqe Se Tarteeb Ho, Ulti Tarteeb Na Ho, Misaal Ke Taur Par Qura'an Shareef Me Surah Kafiroon He Uske Baad Surah Nasrah Uske Baad Surah Tabbatiyada Uske Baad Surah Ikhlas He, To Agar Aap Usko Ulta Karege Yaani Pahli Raka'at Me Tabbatiyada Dusri Raka'at Me Iza Ja'a Or Tisri Raka'at Me Surah Kafiroon To Ye Tarteeb Ulti Ho Gai Or Isse Namaz Makroohe Tanzihi Hogi, Lihaza Is Tariqe Se Namaze Nahi Padhege, To Qura'an Shareef Me Jo Soorto Ki Tarteeb He Usi Ke Mutabik Padhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Quraan Ke 30 Paare Alag Alag Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu,
Kya Quran Shareef Ke 30 Pare Me Se Sab Ko Alag Alag Rakha Jaa Sakte H??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Ijazat He, Qura'an Shareef Ke 30 Paaro Ko Alag Alag Rakha Jaa Sakta He, Jaisa Ki Mamool Bhi Logo Ka Yahi He Ki Qura'an Shareef Ke 30 Paaro Ko Alag Alag Rakhte He.

Uski Daleel Aap Dekhe To Hazrat Abu Bakar Siddiq  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ke Zamane Me Qura'an Shareef Ki Jo Tarteeb Or Tadween Hui, Us Waqt Bhi Alag Alag Hisso Me Qura'an Shareef Likha Hua Tha Or Uski Dusri Misaal Zamana E Risalat Ma'aab  ﷺ Ne Qura'an Shareef Or Soorto Ka Mukhtalif Alag Alag Jagaho Par Likha Hua Hona He, To Ye Dono Cheeze Sabit Karti He Ki Qura'an Shareef Ke 30 Paaro Ko Alag Alag Rakha Jaa Sakta He, Alag Alag 30 Paare Bana Kar Tarteeb Di Jaa Sakti He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mobile Phone Par Nikah Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Mera Sawal He Ki Kya Phone Par Nikah Kar Sakte He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Phone Par Nikah Nahi Ho Sakta, Kyu Ki Nikah Ke Bahut Sare Sharait He, Phone Par Nikah Karne Me Bahut Sare Sharaito Ka Faqdaan Hota He, Yaani Phone Par Nikah Karne Se Misaal Ke Taur Par Gawaho Ka Maujud Hona, Gawaho Ki Hazri Ye Shart Mafqood Ho Jati He, Is Bina Par Hamare Aulma E Kiram Ne Internet Or Phone Par Nikah Na Hone Ka Fatwa Diya He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈

Wuzu Karte Waqt Peshab Ka Qatra Gire To Kya Hukm He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Walaikum Hazrat Agar Wuzu Karte Waqt Peshab Ka Qatra Gir Jaye To Kya Hukm He

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wuzu Karte Waqt Agar Peshab Ka Qatra Gir Jaye To Usse Wuzu Toot Jata He, Yaani Ki Agar Aadha Wuzu Kar Liya Ho To Fir Dubara Wuzu Kare, Or Peshab Ka Qatra Jis Jagah Par Laga Ho, Kapde Par Ya Badan Ke Jis Hisse Par To Vo Hissa Vo Kapda Napak Ho Jayega Usko Paak Karke Namaz Padhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Haiz Ke 4th Din Jima'a Karna Jabki Muddat 7 Din ho or khoon 3 din me band jo jaye

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Zaid Ne Apni Biwi Se Halat Haiz K Chouthe Din Uski Biwi K Marzi Se Mubashirat Ki. To Zaid Par Kya Hukm Hai.

Uski Biwi Ko Haiz K Teen Din Bad Khoon Aana Band Ho Jata Hai. Uske Haiz Ki Muddat Sat Din Ki Hoti Hai Hazrat.

2. Uski Muddat 7 Din He Magar Zaid Ne Jis Din Jima'a Kiya (4din) Us Din Khoon Nahi Aaya Tha To Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Allah Ta'ala Qura'an Majeed Me Irshad Farmata He,
 "وَ یَسۡئَلُوۡنَکَ عَنِ الۡمَحِیۡضِ ؕ قُلۡ ھُوَ اَذًی  ۙ فَاعۡتَزِلُوا النِّسَآءَ فِی الۡمَحِیۡضِ  ۙ وَ لَا تَقۡرَبُوۡھُنَّ حَتّٰی یَطۡھُرۡنَ ۚ فَاِذَا تَطَھَّرۡنَ  فَاۡتُوۡھُنَّ مِنۡ حَیۡثُ اَمَرَکُمُ اللّٰہُ  ؕ اِنَّ اللّٰہَ یُحِبُّ التَّوَّابِیۡنَ  وَ یُحِبُّ الۡمُتَطَھِّرِیۡنَ
*📚(Sura E Baqrah, Aayat-222)*

Tarjama: Or Tum Se Puchhte He Haiz Ka Hukm Tum Farmao Vo Napaki He To Aurto Se Alag Raho Haiz Ke Dino Or Unse Nazdiki Na Karo Jab Tak Paak Na Ho Le, Or Jab Paak Ho Jaaye To Unke Paas Jaao Jahañ Se Tumhe Allah Ne Hukm Diya Beshak Allah Pasand Rakhta He Bahut Taubah Karne Walo Ko Or Pasand Rakhta He Suthro Ko.

Halate Haiz Me Wati Karna Najaizo Haram He Khwañ Biwi Ki Razamandi Se Ho Ya Bila Razamandi Lihaza Dono Ko Chahiye Ki Sachchi Taubah W Astagfar Kare.

2. Ji To Uski Adat 7 Din Ki H Or Shohar Ne 4th Din Us Se Hambistari Ki He Or Jis Din Ki Us Din Khun Nahi Aaya Agle Din Aa Sakta H Satve Din Tak
Lihaza Uski Aadat K Mutabiq 7 Din Hi Haiz K Shumar Honge.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Niyat Kis Tarah Kare Ek Mas'ala

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum
Mera sawal ye hai ke bahut log sunnat namaz ki niyat kuch is tarah se karte hai
Niyat ki maine 2rakat sunnat e rasoolullah fajr ki zohar ki is tarah ki niyat kaisa hai
Tafsil se jawab inayat farmei hazrat meherbani hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Niyat Dil Me Pakke Irade Ka Naam He, Agar Kisine Kisi Bhi Namaz Nafl Ho Sunnat Ho Ya Farz Ho Dil Me Pakka Irada Karke Khada Ho Gaya To Agar Zaban Se Ada Na Bhi Kare To Koi Harj Nahi, Lekin Zaban Se Ada Kar Lena Mustahab He, Agar Jesa Ki Aapne Zikr Kiya Ki Kisi Ne Niyat Ki Ke Niyat Ki Mene 2 Raka'at Namaz Sunnate RasoolAllah ﷺ Ki, Fajr Ki Waste Allah Ta'ala Ke Muh Mera Kaba Shareef Ki Taraf Allahu, Ye Sahih He Durust He.
Jaisa Ki Aam Kutube Fiqh Me Mazkoor He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Attahiyat Ke Ungli Uthane Ka Sahi Tariqa kya He

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz me Ungli uthane ka sahi tareeka kya hai attahiyat me kaha se kaha tak Ungli uthayi jani chahiye.
Baraye meharbani rahenumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tashahud Padhne Me Jab Kalima e 'Laa' Ke Kareeb Pahuche To Dahini Hath Ki Bich Ki Ungli Or Anguthe Ka Halka Banaye Or Chhungaliya Or Uske Paas Wali Ko Hatheli Se Milade, Or Lafze 'Laa' Par Kalima Ki Ungli Uthaye Magar Usko Jumbish Na De, Hilaye Nahi, Or Kalma "illa" Par Gira de, Or Sab Ungaliya Fauran Sidhi Karle, Ye Tariqa He Tash'hud Me "Ash'hadu Al Laa Ilaaha Illallah" Par Ungli Uthane Ka, Usi Ke Mutabik Uthaye.
Aysa Ki Bahare Shariyat Me Mazkoor He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Miya Biwi Ka Jama'at Se Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam u alykum

Hazrat kya  miya Aur bivi (wife and husband)  jamat kar sakte he?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jama'at Kar Sakte He, Shohar Aage Khada Ho, Or Usi Ke Pichhe Uski Biwi, Is Tariqe Se Ba Jama'at Namaz Ada Ki Jaa Sakti He. Albatta Sath Me Khadi Na Ho.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Ameere Muawya Ko Kafir Kahne Wale Par Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salaam U Alaikum Hazrat Mera Ek Sawal Hai
Ek Ladki Hai Jo AMEER E MUAVIYA R.A KO MAAZALLAH KAFIR KEHTI HAI. AUR Woh Apne Appko Sayed BHI Batati Hai. Iss Ka Jawab Inyat Farmai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Jisne Hazrat Ameere Muawya  RadiAllahu Anhu Ko Kafir Kaha Vo Gumrah Bad Deen He, Kharji, Naasbi He, Balki Agar Usne Waqe'ee Hazrat Muawya Ko Musalman Nahi Jana Kafir Aeteqad Karke Kafir Kaha To Vo Kafir Murtad He, Islam Se Kharij He.
Hadees Me He,
فقد باء بھا احدھما
Ahle Sunnat Ka Is Par Ijmaa'a He Hazrat Ameere Muawya Sachche Musalman Or Sahabi E Rasool The.

Musalmanane Ahle Sunnat Par Wajib He Ki Us Gumrah Bad Deen Se Mel Jol, Salam Kalam Band Karde, Ayso Hi Ke Bare Me Hadees Shareef Me Farmaya Gaya,

Na Unke Sath Utho Betho, Na Unke Sath Khaao Piyo, Na Unki Namaze Janaza Padho, Na Unke Sath Namaz Padho, Na Unke Sath Shadi Biyah Karo.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-88)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Parde Ka Hukm Kab Nazil Hua

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Parde Ka Hukm Kis San Hijri Mein Nazil Hua Hawale Ke Saath Bata Den Karmo Nawazish Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Parde Ka Hukm Kab Nazil Huva Iske Ta'alluk Se Shaikhe Kabeer,  Hazrat Saiyeduna Makhdoom Hashim Thattvi Alaihir Rahma Apni Kitab Seeratul Ambiya Me Farmate He,
Isi Saal (Yaani 4 Hijri) Zil-Qa'ada Ke Mahine Me Ummul Mu'amineen Hazrate Zainab Binte Jahsh RadiAllahu Ta'ala Anha Ki Shana E Nabuwwat Me Rukhsati Ke Din Musalman Aurto Ke Liye Parda Ka Hukm Nazil Huva, Ba'az Aulma E Kiram Ka Kahna He Ki Ye Hukm 2 Hijri Ko Nazil Huva, (Magar) Qaule Awwal (Yaani Pahla Qaul 4 Hijri Ka Hi) Raajeh He.
*📚(Seeratul Ambiya, H-2, Baab-3, 4-Hijri Ke Waqeaat, Safha-351)*

Isi Tarah Hazrat Saiyeduna Imam Ibne Hajar Asqalani Alaihir Rahma Bhi Fathul Baari Me Is Hukn Ke Naazil Hone Ke Muta'alliq Chand Aqwal Zikr Karke Ek Qaul Ko Tarjeeh Dete Huye Irshad Farmate He,
In Tamam Aqwal Me Sab Se Zyada Mash'hoor Qaul Yahi He Ki Parde Ka Hukm 4 Hijri Me Nazil Huva.
*📚(Fathul Baari, J-7, S-537, Hadees-4140)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184879

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Luqta Ka hukm or use lost & found stall par jama karana kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

Hazrat Mera Sawal Hai K
1:-   Jo Paise Zameen Pr Pade Hue Mil Jate The Uska Waps Na Krna Kaisa, Kyu Ki Hume Nahi Pta Nhi Hota Tha K Wo Kiska Hai.

2:-   Aaj Kl School College Office Malls Me "Lost & Found" Department Hota H Waha Kisi Ka Khoya Hua Saman Diya Jata H. Is Tarike Pr Amal Krna Shairiyatan Jayez Hoga.

3:-. Agr Mjhe Koi Chiz Dikhae De Jo K Mai "Lost & Found" Me Du Ya Aas Paas Logo Se Puch Kr Us Chiz Ko Uske Malik Tk Pohcha Du Lekin Isme Mera Bht Waqt Zaya Ho Jane Ki Wajh Se Maine Agr Us Chiz Ko Hi Nazar Andaz Kr Diya To Is Pr Kya Hukm Hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
1. Giri Padi Cheezo Ko Shariyat Ki Zaban Me Luqta Kahte He, Or Uska Hukm Ye He Ki Agar Malik Ko De Dene Ki Niyat Se Uthaya To Ye Mustahab, Sawab Payega, Or  Agar Andesha He Ki Vo Khud Hi Rakh Lega Is Wajah Se Uthaya To Fir Ayse Maal Ko Na Uthana Chahiye Chhod Dena Chahiye, Or Agar Galibe Guman He Ki Khud Uthayega Khud Hi Istemal Karega, Khud Hi Use Apne Kaam Me Le Aayega, To Is Niyyat Ke Sath Uthana Najaiz, Haram He,
Jaisa Ki *📚Bahare Shariyat, Hissa-10, Luqta Ka Bayan* Me Huzur  Sadrush Shariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tahrir Farmaya..

Lihaza Soorate Mas'ala Me Aap Ke Liye Vo Cheez Na Uthana Bahetar, Usko Chhod De.

2. Dusre Sawal Ka Jawab Ye Ki Agar Vo Yaqeeni Taur Par Unke Maliko Ko Unka Maal Pahuchane Ki Hattal Wus'at Koshish Karte He Or Aksaro Beshtar Ka Tajarba Yahi Rahta He Ki Vo Khoye Huve Maal Ko Uske Malik Ko Talash Larke Us Tak Pahucha Hi Dete He, Tab To Ayse Counter Par Us Maal Ko Jama'a Kar Dena Jaiz Hona Chahiye..

3. Jawab Teen Ye He Ki Agar Aap Ko Aysa Lagta He Ki Ye Cheez Uthauga, Uske Malik Ko Talash Karuga, Us Cheez Ki Tashheer Karuga, Mera Waqt Bahut Zaaya Hoga, Or Mere Paas Itna Waqt Bhi Nahi Ki Me Ye Sab Kaam Karu, To Aapke Liye Jaiz He Ki Aap Us Cheez Ko Chhod De, Aapke Liye Uthana Lazim Nahi He.

Kisi Bhi Giri Padi Cheez Ko Yaani Luqta Ko Uthane Ke Baad Uthane Wale Par Ye Lazim W Zaroori Ho Jata He Ki Vo Us Cheez Ki Tash'heer Kare Or Us Cheez Ke Malik Ke Liye Itna Ailan Karde, Bazaro Me, Gharo Me, Muhallo Me, Pure Shahar Me Itna Ailan Kare Ki Ab Galibe Gumaan Ho Jaye Ki Ab Uska Malik Usko Talash Na Karta Hoga, Lihaza Aysi Soorat Me Agar Aap Us Cheez Ko Na Uthayege To Ye Bhi Aap Ke Liye Jaiz Hoga,

Usi Se Milta Julta Ek Mas'ala Ye Bhi Dhyan Me Rakhe Ki, Giri Padi Cheez Aysi Thi Jo Kharab Hone Wali Nahi Thi, Or Hattal Wus'at Mumkin Or Taqat Bhar Uski Tash'heer Bhi Karta Raha, Ailan Bhi Karta Raha, Magar Uska Malik Na Mila, Or Galibe Gumaan Ye Hua Ki Ab Malik Usse Be-Niyaz Ho Chuka Hoga, To Ab Us Cheez Ka Hukm Ye He Ki Vo Cheez Kisi Miskeen, Gareeb, Faqeer Ko Dede, Ki Vo Isko Apne Istemaal Me Le Aaye,

Dusra Mas'ala Ye He Ki Agar Vo Giri Padi Cheez Aysi He Ki Jiske Kharab Ho Jane Ka Andesha He, Jab Tak Uske Kharab Ho Jane Ka Andesha Na Ho, Us Cheez Ki Tash'heer Kare, Misaal Ke Taur Par Dudh Wagairah Ya Koi Khane Pine Ki Cheez Ki Ye Cheeze Do Char Ghante Hi Achchi Rahti He, To Ek Do Ghante Tak Uski Tash'heer Karta Rahe, Ailan Karta Rahe, Malik Mil Jaye To Usko Lota De, Or Malik Na Milne Ki Soorat Me Kisi Gareeb Faqeer Miskeen Par Usko Sadqa Karde,
Aysa Hi *📚Bahare Shariyat, Hissa-10, Luqta Ka Bayan* Me He

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts